shaKHsiyyat ki mausiqi
vo qubūl-sūrat sī
sāñvlī bhalī aurat
thoḌā ruk ke dekheñ to
kitnī ḳhūbsūrat hai
us ke narm lahje meñ
us kī soch kī ḳhushbū
us ke zauq-e-poshish meñ
halke halke rañgoñ ke
intiḳhāb kā jaadū
fikr kī javāñ kirneñ
us kī rūp-rekhā.eñ
añkhḌiyoñ meñ kuchh ḳhāke
muztarib ḳhayāloñ ke
uñgliyoñ meñ rachnā.eñ
naġhma-e-takallum meñ
zer-o-bam ka.ī ġhaltāñ
zarf aur zarāfat ke
zer-e-lab tabassum se
khul ke muskurāne tak
pech-o-ḳham ka.ī larzāñ
iḳhtiyār-o-ādat ke
sādgī meñ chehre kī
sham.a ik farozāñ sī
aañch dard-mandī kī
lau kisī bulandī kī
juñbish-e-ravish us kī
narm-gām o āhista
ik jahān-e-ra.anā.ī
har nigāh-e-shā.ista
kaif meñ latāfat ke
tez hissiyat shāmil
teġh se zehānat kī
us kī har adā qātil
vo qubūl-sūrat sī
sāñvlī bhalī aurat
thoḌā ruk ke dekheñ to
kitnī ḳhūbsūrat hai!
wo qubul-surat si
sanwli bhali aurat
thoDa ruk ke dekhen to
kitni KHubsurat hai
us ke narm lahje mein
us ki soch ki KHushbu
us ke zauq-e-poshish mein
halke halke rangon ke
intiKHab ka jadu
fikr ki jawan kirnen
us ki rup-rekhaen
ankhDiyon mein kuchh KHake
muztarib KHayalon ke
ungliyon mein rachnaen
naghma-e-takallum mein
zer-o-bam kai ghaltan
zarf aur zarafat ke
zer-e-lab tabassum se
khul ke muskurane tak
pech-o-KHam kai larzan
iKHtiyar-o-adat ke
sadgi mein chehre ki
shama ek farozan si
aanch dard-mandi ki
lau kisi bulandi ki
junbish-e-rawish us ki
narm-gam o aahista
ek jahan-e-ranai
har nigah-e-shaista
kaif mein latafat ke
tez hissiyat shamil
tegh se zehanat ki
us ki har ada qatil
wo qubul-surat si
sanwli bhali aurat
thoDa ruk ke dekhen to
kitni KHubsurat hai!
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.