sham-e-rah-guzar
ziist be-iḳhtiyār guzrī hai
juuñ nasīm-e-bahār guzrī hai
dil meñ barpā qayāmateñ kartī
nigah-e-sharmsār guzrī hai
sāġhar o saaz duur hī rakhiye
varna yuuñ bhī bahār guzrī hai
zamzama-sanj o zarfishāñ nik.hat
phir sabā par savār guzrī hai
kyā guzargāh hai mohabbat kī
ḳhud-ba-ḳhud baar baar guzrī hai
ik dur-e-shahvār-e-sad-bustāñ
phir lab-e-jūebār guzrī hai
haa.e shīrīnī-e-lab-e-lālīñ
muskurātī bahār guzrī hai
vaa.e tūfān-e-sīna-e-sīmīñ
duḳhtar-e-kohsār guzrī hai
zindagī kī jamīl rāhoñ se
ḳhud ajal sharmsār guzrī hai
zist be-iKHtiyar guzri hai
jun nasim-e-bahaar guzri hai
dil mein barpa qayamaten karti
nigah-e-sharmsar guzri hai
saghar o saz dur hi rakhiye
warna yun bhi bahaar guzri hai
zamzama-sanj o zarfishan nikhat
phir saba par sawar guzri hai
kya guzargah hai mohabbat ki
KHud-ba-KHud bar bar guzri hai
ek dur-e-shahwar-e-sad-bustan
phir lab-e-juebar guzri hai
hae shirini-e-lab-e-lalin
muskuraati bahaar guzri hai
wae tufan-e-sina-e-simin
duKHtar-e-kohsar guzri hai
zindagi ki jamil rahon se
KHud ajal sharmsar guzri hai
- Book : Aahang (Pg. 213)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.