shama
aaj us dil-rubā kī saal girah hai
lekin maiñ us hasīn shaam kā intizār nahīñ kar sakā
kal raat hī jashn manāne us ke dar par pahuñch gayā
mere hāthoñ meñ surḳh gulāb the
aur bahār kī ḳhush-bū
āñkhoñ meñ pyaar thā
aur bahut se savāl
hoñToñ par ḳhushiyoñ ke giit the
aur thoḌī sī pyaas
dil-rubā ke sāmne ik sham.a jal rahī thī
ḳhushī ke is mauqe par
Thiik bārah baje
us ne vahī kiyā jo sāl-girah manāne vaale karte haiñ
qātil adāoñ vaalī ne
be-niyāzī se phūñk maar ke
merī mohabbat kī sham.a gul kar dī
aaj us dil-ruba ki sal girah hai
lekin main us hasin sham ka intizar nahin kar saka
kal raat hi jashn manane us ke dar par pahunch gaya
mere hathon mein surKH gulab the
aur bahaar ki KHush-bu
aankhon mein pyar tha
aur bahut se sawal
honTon par KHushiyon ke git the
aur thoDi si pyas
dil-ruba ke samne ek shama jal rahi thi
KHushi ke is mauqe par
Thik barah baje
us ne wahi kiya jo sal-girah manane wale karte hain
qatil adaon wali ne
be-niyazi se phunk mar ke
meri mohabbat ki shama gul kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.