shampain aur main
barf se lakḌī kashīd karte hue
ek dūsre ko ghūrte haiñ
bārīk filter vaale cigarette kī rag meñ
sho.ale kā lahū ThanDā paḌ gayā hai
marmarīñ sargoshiyāñ
camp ke nuqra.ī sannāTe kī khaal kāTtī haiñ
botal kī shiknoñ meñ ūñghtī boriyat
dhuñd kā lams pī rahī hai
ariana ke thirakte hue kāsnī hoñT
ḳhvāb ke niile māthe se baal haTā kar
narm bose taḳhlīq karte haiñ
aphrodite ke jism se pighaltī
nisvānī kashish kī bhīgī uljhan
kaafī ke daane chaaT rahī hai
barf kī god meñ lamhe
qadīm yūnānī bāshindoñ kī tarah
lazzat kī aag taap rahe haiñ
junūñ ke Dhīle badan meñ
zabt kī kamān TūTnā chāhtī hai
barf se lakDi kashid karte hue
ek dusre ko ghurte hain
barik filter wale cigarette ki rag mein
shoale ka lahu ThanDa paD gaya hai
marmarin sargoshiyan
camp ke nuqrai sannaTe ki khaal kaTti hain
botal ki shiknon mein unghti boriyat
dhund ka lams pi rahi hai
ariana ke thirakte hue kasni honT
KHwab ke nile mathe se baal haTa kar
narm bose taKHliq karte hain
aphrodite ke jism se pighalti
niswani kashish ki bhigi uljhan
kafi ke dane chaT rahi hai
barf ki god mein lamhe
qadim yunani bashindon ki tarah
lazzat ki aag tap rahe hain
junun ke Dhile badan mein
zabt ki kaman TuTna chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.