shanaKHt
shanāḳht us ke naam se thī
jism kī bahār se
shanāḳht āftāb se thī
zulf-e-ābshār se
shanāḳht pairahan se thī
ġhazāl-e-nūr-bār se
shanāḳht us ke shabnamī
fishār ātishīñ se thī
zamīn-doz āsmāñ-sifat ḳhumār se
khulī huī thī duur duur tak
tabassumoñ kī surḳh dhuup
tez raushnī
tamām shafqatoñ kī narm chāñdnī
malā.ik-o-nujūm
aaj saare be-murād ho ga.e
shanāḳhteñ ujaḌ ga.iiñ
sulagte bām-o-dar ke darmiyāñ
shumār ho rahe haiñ soḳhta burīda jism
reza reza kuchh makāñ
vo be-shanāḳht ho ga.ī
vo ḳhvāb thī
vo ik hasīn naam thī
vo naam se bichhaḌ ga.ī
shanaKHt us ke nam se thi
jism ki bahaar se
shanaKHt aaftab se thi
zulf-e-abshaar se
shanaKHt pairahan se thi
ghazal-e-nur-bar se
shanaKHt us ke shabnami
fishaar aatishin se thi
zamin-doz aasman-sifat KHumar se
khuli hui thi dur dur tak
tabassumon ki surKH dhup
tez raushni
tamam shafqaton ki narm chandni
malaik-o-nujum
aaj sare be-murad ho gae
shanaKHten ujaD gain
sulagte baam-o-dar ke darmiyan
shumar ho rahe hain soKHta burida jism
reza reza kuchh makan
wo be-shanaKHt ho gai
wo KHwab thi
wo ek hasin nam thi
wo nam se bichhaD gai
- Book : Lambi Barish (Pg. 218)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.