shanawar
ḳhalā meñ ġhaur se dekhūñ
to ik tasvīr bantī hai
aur is tasvīr kā chehra
tire chehre se miltā hai
vahī āñkheñ vahī rañgat
vahī haiñ ḳhāl-o-ḳhad saare
mirī āñkhoñ se dekhe to
tujhe is aks ke chehre pe
ik til bhī dikhā.ī de
jo bilkul tere chehre par
saje us til ke jaisā hai
jo gahrā hai bahut gahrā
samundar se bhī gahrā hai
ki us gahrā.ī meñ aksar
'shanāvar' Duub jaatā hai
KHala mein ghaur se dekhun
to ek taswir banti hai
aur is taswir ka chehra
tere chehre se milta hai
wahi aankhen wahi rangat
wahi hain KHal-o-KHad sare
meri aankhon se dekhe to
tujhe is aks ke chehre pe
ek til bhi dikhai de
jo bilkul tere chehre par
saje us til ke jaisa hai
jo gahra hai bahut gahra
samundar se bhi gahra hai
ki us gahrai mein aksar
'shanawar' Dub jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.