ik baks kahīñ se lā.eñge roġhan se use chamkā.eñge
ik Dabbe meñ baasī phulkoñ kā ik ambār lagā.eñge
laḌkoñ se kaheñge aao gramophone phone tumheñ sunvā.eñge
sandūq aur Dabbā khol ke phir nācheñge shor machā.eñge
aaj apne har ham-jolī ko ham ullū ḳhuub banā.eñge
amjad chūnī aur tulsī ko dāvat pe bulāyā jā.egā
ik lambā chauḌā ujlā dastar-ḳhvān bichhāyā jā.egā
Dongoñ kā aur pleToñ kā ik Dher lagāyā jā.egā
jab dhakne Dongoñ se uTThe un meñ meñDak Tarrā.eñge
aaj apne har ham-jolī ko ham ullū ḳhuub banā.eñge
Topī meñ ghanTī laTkā kar ham haule haule jūmeñge
sab bachche maare ḳhauf ke khānā piinā bhūleñge
ham bhuut aayā chillā.eñge vo zor se āñkheñ mūñdeñge
jab rone par ā.eñge tab ghanTī kā raaz batā.eñge
aaj apne har ham-jolī ko ham ullū ḳhuub banā.eñge
bhayyā se kaheñge jaldī bāhar chaliyegā taar aayā hai
shāyad sarkār ne nau sau par fauran shimle bulvāyā hai
ammī ne kahā jab kuchh bhī nahīñ ik billā chūhā laayā hai
to ham khāne kī mez ke nīche chupke se chhup jā.eñge
aaj apne har ham-jolī ko ham ullū ḳhuub banā.eñge
ek baks kahin se laenge roghan se use chamkaenge
ek Dabbe mein basi phulkon ka ek ambar lagaenge
laDkon se kahenge aao gramophone phone tumhein sunwaenge
sanduq aur Dabba khol ke phir nachenge shor machaenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
amjad chuni aur tulsi ko dawat pe bulaya jaega
ek lamba chauDa ujla dastar-KHwan bichhaya jaega
Dongon ka aur pleTon ka ek Dher lagaya jaega
jab dhakne Dongon se uTThe un mein meinDak Tarraenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
Topi mein ghanTi laTka kar hum haule haule jumenge
sab bachche mare KHauf ke khana pina bhulenge
hum bhut aaya chillaenge wo zor se aankhen mundenge
jab rone par aaenge tab ghanTi ka raaz bataenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
bhayya se kahenge jaldi bahar chaliyega tar aaya hai
shayad sarkar ne nau sau par fauran shimle bulwaya hai
ammi ne kaha jab kuchh bhi nahin ek billa chuha laya hai
to hum khane ki mez ke niche chupke se chhup jaenge
aaj apne har ham-joli ko hum ullu KHub banaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.