koi aisa school bhi to khule
jahan copiyan aur kitaben na hon
diwaron pe likkha ho paDhna nahin
taraqqi ke zine pe chaDhna nahin
rah-e-ilm mein aage baDhna nahin
gale mere ye ilm maDhna nahin
hamesha rahen KHush ki ai chul-bule
koi aisa school bhi to khule
hamein na sikhao ye ji o T got
hamara to ghussa hai h o T hot
ki hum toD Dalen ye pi o T pot
chhiDak denge chehre pe hum inkpot
paDe dagh aisa ki phir na dhule
koi aisa school bhi to khule
na karni paDe yaad ye history
na jughrafiya ho aur na chemistry
wakalat karenge na barristeri
sikha do shararat ki palmistry
ki shaitan banne pe hum hain tule
koi aisa school bhi to khule
baDe ho ke bhaalu nachaenge hum
akhaDe mein mugdar ghumaenge hum
na paDhne ko england jaenge hum
tumhin par kabutar uDaenge hum
jahaalat ke palDe mein hum hain tule
koi aisa school bhi to khule