Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shararat

Nisar Abbasi

shararat

Nisar Abbasi

MORE BYNisar Abbasi

    sharārat miyāñ pappū ne aisī

    ki daddy ne piTā.ī un kar

    vo maañ ke paas pahoñche muñh bisore

    kahā un se baḌī sanjīdgī se

    hameñ daddy ne kyoñ maarā batā.eñ

    zarūrī hai ki bachche maar khā.eñ

    kahā mummy ne sun kar baat un

    sharārat sazā hai sab ko miltī

    ye mummy aap ne achchhī sunā.ī

    sharārat sazā hai bas piTā.ī

    to mummy kyā hamāre daadā abbā

    jab aatā thā yūñhī un ko bhī ġhussa

    kiyā karte the daddy piTā.ī

    jo laḌte khel meñ the bhaa.ī bhaa.ī

    kahā pappū ne kuchh aisī adā se

    ki peToñ meñ paḌe bal hañste hañste

    kahā mummy ne ye pappū miyāñ se

    ye pūchho ke tum abbū miyāñ se

    magar ik baat maiñ tum ko jatā.ūñ

    haqīqat kyā hai ye tum ko batā.ūñ

    sharārat meñ jo hotī hai harārat

    utar jaatī hai hote marammat

    shararat ki miyan pappu ne aisi

    ki daddy ne piTai un ki kar di

    wo man ke pas pahonche munh bisore

    kaha un se baDi sanjidgi se

    hamein daddy ne kyon mara bataen

    zaruri hai ki bachche mar khaen

    kaha mummy ne sun kar baat un ki

    shararat ki saza hai sab ko milti

    ye mummy aap ne achchhi sunai

    shararat ki saza hai bas piTai

    to mummy kya hamare dada abba

    jab aata tha yunhi un ko bhi ghussa

    kiya karte the daddy ki piTai

    jo laDte khel mein the bhai bhai

    kaha pappu ne kuchh aisi ada se

    ki peTon mein paDe bal hanste hanste

    kaha mummy ne ye pappu miyan se

    ye puchho ja ke tum abbu miyan se

    magar ek baat main tum ko jataun

    haqiqat kya hai ye tum ko bataun

    shararat mein jo hoti hai hararat

    utar jati hai hote hi marammat

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now