Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharare

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    ḳhud ko bahlānā thā āḳhir ḳhud ko bahlātā rahā

    maiñ ba-īñ soz-e-darūñ hañstā rahā gaatā rahā

    mujh ko ehsās-e-fareb-e-rañg-o-bū hotā rahā

    maiñ magar phir bhī fareb-e-rañg-o-bū khātā rahā

    merī duniyā-e-vafā meñ kyā se kyā hone lagā

    ik darīcha band mujh par ek hone lagā

    ik nigār-e-nāz phirne lagīñ āñkheñ 'majāz'

    ik but-e-kāfir dil dard-āshnā hone lagā

    ain hañgām-e-tarab rūh-e-tarab tharrā ga.ī

    daf.atan dil ke ufuq par ik ghaTā chhā ga.ī

    ek āġhosh-e-tamannā taqāzā dekh kar

    ek dil sard-mehrī bhī mujhe yaad aa ga.ī

    mujrim-e-sartābī-e-husn-e-javāñ ho jā.iye

    gul-fishānī tā-kujā shola-fishāñ ho jā.iye

    khāī.egā ik nigāh-e-lutf kab tak fareb

    koī afsāna banā kar bad-gumāñ ho jā.iye

    KHud ko bahlana tha aaKHir KHud ko bahlata raha

    main ba-in soz-e-darun hansta raha gata raha

    mujh ko ehsas-e-fareb-e-rang-o-bu hota raha

    main magar phir bhi fareb-e-rang-o-bu khata raha

    meri duniya-e-wafa mein kya se kya hone laga

    ek daricha band mujh par ek wa hone laga

    ek nigar-e-naz ki phirne lagin aankhen 'majaz'

    ek but-e-kafir ka dil dard-ashna hone laga

    ain hangam-e-tarab ruh-e-tarab tharra gai

    dafatan dil ke ufuq par ek ghaTa si chha gai

    ek aaghosh-e-tamanna ka taqaza dekh kar

    ek dil ki sard-mehri bhi mujhe yaad aa gai

    mujrim-e-sartabi-e-husn-e-jawan ho jaiye

    gul-fishani ta-kuja shola-fishan ho jaiye

    khaiega ek nigah-e-lutf ka kab tak fareb

    koi afsana bana kar bad-guman ho jaiye

    Source :
    • Book : Aahang (Pg. 165)
    • Author : Asrar-ul-Haq Majaz
    • Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now