apne teacher ko nachā.eñ to maza aa jaa.e
un kī ainak ko churā.eñ to maza aa jaa.e
un ke DanDe ko chhupā.eñ to maza aa jaa.e
aaj jī bhar ke satā.eñ to maza aa jaa.e
kaun sā din hai jo teacher ne nahīñ maarā hai
ham ne har kaam kiyā phir bhī to phaTkārā hai
un kā ġhussa hai ki dahkā huā añgārā hai
aag meñ aag lagā.eñ to maza aa jaa.e
muñh pe chāñTe bhī diye ham ne banāyā murġhā
ham ne schōl se har roz ye tamġha paayā
kitne jallād haiñ teacher are allāh allāh
ham bhī muñh un kā chaḌhā.eñ to maza aa jaa.e
vo paḌhāte haiñ to ausān ḳhatā hote haiñ
haq paḌhā.ī ke ye dushvār adā hote haiñ
ham agar rote haiñ phir aur ḳhafā hote haiñ
aaj un ko bhī rulā.eñ to maza aa jaa.e
un kī kursī pe chalo aao paTāḳhe bāñdheñ
jab vo aa.eñ to paTāḳhoñ kā taḌapnā dekheñ
ham bhī shāgird-e-sitam-gār haiñ itnā māneñ
pīchhe pīchhe hī bhagā.eñ to mazā aa jaa.e
un kī jo chiiz hai chupke se chhupā deñ aao
paan biiḌī kī jo Dibiyā hai uḌā deñ aao
ham sharārat ke na.e jaal bichhā deñ aao
vo kisī jaal meñ aa.eñ to mazā aa jaa.e
vo agar sāmne aa jaa.eñ to mil kar chīḳheñ
vo kaheñ chup raho ham aur bhī hañs kar chīḳheñ
aur vo āñḳheñ dikhā.eñ to akaḌ kar chīḳheñ
un ko dīvāna banā.eñ to maza aa jaa.e