vahī sab thā
vahī ġham thā vahī rab thā
vahī atvār-e-kaukab the
vahī dastūr naḳhshab thā vahī sab thā
magar is baar ro lene kī āzādī bhī mujh se chhin ga.ī aise
ki ye kahnā paḌā pichhle dukhoñ meñ ik sukh to thā
kam-az-kam rone ke ḳhufiya tarīqe sochnā mujh ko na paḌte the
mujhe kahnā paḌā āḳhir
ki shāyad pahle hī circus meñ maiñ kuchh us se behtar thī
maiñ is circus meñ gīdaḌ huuñ
magar maiñ sābiqa circus meñ miTTī kī sahī par shernī thī maiñ
wahi sab tha
wahi gham tha wahi rab tha
wahi atwar-e-kaukab the
wahi dastur naKHshab tha wahi sab tha
magar is bar ro lene ki aazadi bhi mujh se chhin gai aise
ki ye kahna paDa pichhle dukhon mein ek sukh to tha
kam-az-kam rone ke KHufiya tariqe sochna mujh ko na paDte the
mujhe kahna paDa aaKHir
ki shayad pahle hi circus mein main kuchh us se behtar thi
main is circus mein gidaD hun
magar main sabiqa circus mein miTTi ki sahi par sherni thi main
Sharai circus ki geedad
Azra Naqvi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.