soz-e-ġham mūjib-e-hayāt bhī hai
ek shai zahr bhī nabāt bhī hai
āgahī meñ bhalā ye baat kahāñ
ishq puḳhta bhī bā-sabāt bhī hai
dil jo simTe to qatra-e-ḳhūñ hai
aur phaile to kā.enāt bhī hai
aap kā har sitam bajā lekin
koī shai husn-e-iltifāt bhī hai
chehra raushan huā to kyā hāsil
dil ho raushan to koī baat bhī hai
zindagī ik balā sahī lekin
is balā se kahīñ najāt bhī hai
gul-o-bulbul kī dāstāñ hī nahīñ
shā.erī sharh-e-vārdāt bhī hai
soz-e-gham mujib-e-hayat bhi hai
ek shai zahr bhi nabaat bhi hai
aagahi mein bhala ye baat kahan
ishq puKHta bhi ba-sabaat bhi hai
dil jo simTe to qatra-e-KHun hai
aur phaile to kaenat bhi hai
aap ka har sitam baja lekin
koi shai husn-e-iltifat bhi hai
chehra raushan hua to kya hasil
dil ho raushan to koi baat bhi hai
zindagi ek bala sahi lekin
is bala se kahin najat bhi hai
gul-o-bulbul ki dastan hi nahin
shaeri sharh-e-wardat bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.