tum mire paas raho saath raho
aur ye ehsās rahe
maiñ ki āzād huuñ jiine ke liye
aur zinda huuñ ḳhud apne andar
apnī hī zaat meñ tābinda huuñ
apnī har saañs pe qabza hai mirā
apnī pākīza tamannāoñ kī takmīl kā haq hai mujh ko
apne ma.asūm se jazbāt kī tarsīl kā haq hai mujh ko
ye zamīñ merī bhī ye dasht-o-chaman mere bhī
sirf āñgan hī nahīñ koh-o-daman mere bhī
jitnā un par hai tumhārā vahī haq merā bhī
shart bas ye hai
ki tum saath raho
paas raho
merī har marzī meñ shāmil ho tumhārī marzī
merī har saañs kī shāhid hoñ tumhārī sāñseñ
mere har raaz kī hāmil ho tumhārī dhaḌkan
aur ham ek hī zanjīr meñ pā-basta hoñ
tum mere pas raho sath raho
aur ye ehsas rahe
main ki aazad hun jine ke liye
aur zinda hun KHud apne andar
apni hi zat mein tabinda hun
apni har sans pe qabza hai mera
apni pakiza tamannaon ki takmil ka haq hai mujh ko
apne masum se jazbaat ki tarsil ka haq hai mujh ko
ye zamin meri bhi ye dasht-o-chaman mere bhi
sirf aangan hi nahin koh-o-daman mere bhi
jitna un par hai tumhaara wahi haq mera bhi
shart bas ye hai
ki tum sath raho
pas raho
meri har marzi mein shamil ho tumhaari marzi
meri har sans ki shahid hon tumhaari sansen
mere har raaz ki hamil ho tumhaari dhaDkan
aur hum ek hi zanjir mein pa-basta hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.