shauhar ne aaj
ek aurat bahut udaas malūl
nel gāloñ par
hoñT meñ sūjan
baal bikhre hue pareshāñ se
us ke shauhar ne aaj maarā hai
log kahte haiñ raat ġhā.eb thī
daur-e-nau ke latīf goshoñ se
nā-balad vo ġharīb shauhar hai
bīviyā,n ghar se raat ko bāhar
rah sakīñ to ye ain izzat hai
aaj ke daur kī sharāfat hai
is na.e daur kī na.ī tahzīb
shauhar-e-be-shu.ūr kyā jaane
ek aurat bahut udas malul
nel galon par
honT mein sujan
baal bikhre hue pareshan se
us ke shauhar ne aaj mara hai
log kahte hain raat ghaeb thi
daur-e-nau ke latif goshon se
na-balad wo gharib shauhar hai
biwiya,n ghar se raat ko bahar
rah sakin to ye ain izzat hai
aaj ke daur ki sharafat hai
is nae daur ki nai tahzib
shauhar-e-be-shuur kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.