shauq-e-gurezan
dair o ka.aba kā maiñ nahīñ qaa.el
dair o ka.aba ko āstāñ na banā
mujh meñ tū rūh-e-sarmadī mat phūñk
raunaq-e-bazm-e-ārifāñ na banā
dasht-e-zulmāt meñ bhaTakne de
merī rāhoñ ko kahkashāñ na banā
ishrat-e-jahl-o-tīrgī mat chhīn
mahram-e-rāz-e-do-jahāñ na banā
bijliyoñ se jahāñ na ho chashmak
us gulistāñ meñ āshiyāñ na banā
ḳhār-e-chashm-e-harīf rahne de
hirz-e-bāzū-e-dostāñ na banā
merī ḳhud-bīniyāñ na le mujh se
jalva-afroz-e-mahvishāñ na banā
dil-e-sad-pāra-ehavādis ko
taḳhta-e-mashq-e-gul-ruḳhāñ na banā
merī ḳhuddāriyoñ kā ḳhuun na kar
mutrib-e-bazm-e-dil-barāñ na banā
māh-o-anjum se mujh ko kyā nisbat
mujh ko in kā mizāj-dāñ na banā
jis ko apnī ḳhabar nahīñ rahtī
us ko sālār-e-kārvāñ na banā
merī jānib nigāh-e-lutf na kar
ġham ko is darja kāmrāñ na banā
is zamīñ ko zamīñ hī rahne de
is zamīñ ko tū āsmāñ na banā
merī hastī niyāz-o-shauq sahī
is ko unvān-e-dāstāñ na banā
raaz terā chhapā nahīñ saktā
tū mujhe apnā rāz-dāñ na banā
dair o kaba ka main nahin qael
dair o kaba ko aastan na bana
mujh mein tu ruh-e-sarmadi mat phunk
raunaq-e-bazm-e-arifan na bana
dasht-e-zulmat mein bhaTakne de
meri rahon ko kahkashan na bana
ishrat-e-jahl-o-tirgi mat chhin
mahram-e-raaz-e-do-jahan na bana
bijliyon se jahan na ho chashmak
us gulistan mein aashiyan na bana
KHar-e-chashm-e-harif rahne de
hirz-e-bazu-e-dostan na bana
meri KHud-biniyan na le mujh se
jalwa-afroz-e-mahwishan na bana
dil-e-sad-para-ehawadis ko
taKHta-e-mashq-e-gul-ruKHan na bana
meri KHuddariyon ka KHun na kar
mutrib-e-bazm-e-dil-baran na bana
mah-o-anjum se mujh ko kya nisbat
mujh ko in ka mizaj-dan na bana
jis ko apni KHabar nahin rahti
us ko salar-e-karwan na bana
meri jaanib nigah-e-lutf na kar
gham ko is darja kaamran na bana
is zamin ko zamin hi rahne de
is zamin ko tu aasman na bana
meri hasti niyaz-o-shauq sahi
is ko unwan-e-dastan na bana
raaz tera chhapa nahin sakta
tu mujhe apna raaz-dan na bana
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.