shauq-e-sahar
kab tak terī bujhtī āñkheñ
nīñdoñ se bojhal chaukhaT meñ
TūTte tāroñ girte chanāroñ kā ujḌā manzar dekheñgī
ye chaukhaT to
guzre pal kā ruup dikhā kar
is āfāq kī dūr-uftāda sīḌhī meñ gum ho jā.egī
jis kī āḳhirī khiḌkī
phaTe purāne kapḌoñ kī TuuTī dūkān meñ khultī hai
is chaukhaT se bāhar aa kar
ghaas pe nañge paañv chalnā
ghaas jise shabnam kī mo.attar būñdoñ ne ashnān diyā hai
yahīñ kahīñ us ke pahlū meñ
havā vo sapne baañT rahī hai
jis ko is chhoTe se ghar kī
shauq-e-sahar meñ
abhī haqīqat banñā hai
kab tak teri bujhti aankhen
nindon se bojhal chaukhaT mein
TuTte taron girte chanaron ka ujDa manzar dekhengi
ye chaukhaT to
guzre pal ka rup dikha kar
is aafaq ki dur-uftada siDhi mein gum ho jaegi
jis ki aaKHiri khiDki
phaTe purane kapDon ki TuTi dukan mein khulti hai
is chaukhaT se bahar aa kar
ghas pe nange panw chalna
ghas jise shabnam ki moattar bundon ne ashnan diya hai
yahin kahin us ke pahlu mein
hawa wo sapne banT rahi hai
jis ko is chhoTe se ghar ki
shauq-e-sahar mein
abhi haqiqat banna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.