ek KHwab
Interesting Fact
This Nazm was used film 'Kinara' (1977), directed by Gulzar himself.
ek hī ḳhvāb ka.ī baar yūñhī dekhā maiñ ne
tū ne saaḌī meñ uḌas lī haiñ mirī chābiyāñ ghar kī
aur chalī aa.ī hai bas yūñhī mirā haath pakaḌ kar
ghar kī har chiiz sambhāle hue apnā.e hue tū
tū mire paas mire ghar pe mire saath hai 'sonūñ'
mez par phuul sajāte hue dekhā hai ka.ī baar
aur bistar se ka.ī baar jagāyā bhī hai tujh ko
chalte-phirte tire qadmoñ kī vo aahaT bhī sunī hai
gungunātī huī niklī hai ġhusl-ḳhāne se jab bhī
apne bhīge hue bāloñ se Tapaktā huā paanī
mere chehre par chhiḌak detī hai tū 'sonūñ' kī bachchī
farsh par leT ga.ī hai tū kabhī ruuTh ke mujh se
aur kabhī farsh se mujh ko bhī uThāyā hai manā kar
taash ke pattoñ pe laḌtī hai kabhī khel meñ mujh se
aur kabhī laḌtī bhī aise hai ki bas khel rahī hai
aur āġhosh meñ nanhe ko
aur ma.alūm hai jab dekhā thā ye ḳhvāb tumhārā
apne bistar pe maiñ us vaqt paḌā jaag rahā thā
ek hi KHwab kai bar yunhi dekha main ne
tu ne saDi mein uDas li hain meri chabiyan ghar ki
aur chali aai hai bas yunhi mera hath pakaD kar
ghar ki har chiz sambhaale hue apnae hue tu
tu mere pas mere ghar pe mere sath hai 'sonun'
mez par phul sajate hue dekha hai kai bar
aur bistar se kai bar jagaya bhi hai tujh ko
chalte-phirte tere qadmon ki wo aahaT bhi suni hai
gungunati hui nikli hai ghusl-KHane se jab bhi
apne bhige hue baalon se Tapakta hua pani
mere chehre par chhiDak deti hai tu 'sonun' ki bachchi
farsh par leT gai hai tu kabhi ruTh ke mujh se
aur kabhi farsh se mujh ko bhi uThaya hai mana kar
tash ke patton pe laDti hai kabhi khel mein mujh se
aur kabhi laDti bhi aise hai ki bas khel rahi hai
aur aaghosh mein nanhe ko
aur malum hai jab dekha tha ye KHwab tumhaara
apne bistar pe main us waqt paDa jag raha tha
- Book : Pukhraj (Pg. 135)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa Publications India Pvt. (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.