sher bechaara
sher jañgal meñ hai udaas bahut
jānvar kam haiñ aur ghaas bahut
sochtā hai ki kyā kareñ ab ham
kar liyā ġhaur aur qayās bahut
mā-badaulat kā ho gayā paḌā
thī kabhī apnī dhoñs-dhāñs bahut
sab re.āyā chalī ga.ī zō meñ
naukrī aa.ī sab ko raas bahut
sab ke jañgal ko chhoḌ jaane se
ho gayā hai hamārā loss bahut
khāne piine ke paḌ ga.e laale
chāhiye family ko maas bahut
bachche udham machā.e rakhte haiñ
in ko lagtī hai bhuuk pyaas bahut
shernī ne bhī roz laḌ laḌ kar
kar diyā hai hamārā naas bahut
vo samajhtī hai aaj bhī haigā
māl-o-daulat hamāre paas bahut
roz make-up kā chāhiye sāmāñ
aur darkār haiñ libās bahut
us se shikve shikāyateñ sun kar
ta.ane detī hai ham ko saas bahut
jī meñ aatā hai ḳhud-kushī kar leñ
zindagānī se haiñ nirās bahut
par kabhī sochte haiñ shahr chaleñ
sūñgh lī jañgaloñ kī baas bahut
jā ke circus meñ naukrī kar leñ
gar mileñ to haiñ sau pachās bahut
sher jangal mein hai udas bahut
jaanwar kam hain aur ghas bahut
sochta hai ki kya karen ab hum
kar liya ghaur aur qayas bahut
ma-badaulat ka ho gaya paDa
thi kabhi apni dhons-dhans bahut
sab reaya chali gai zoo mein
naukri aai sab ko ras bahut
sab ke jangal ko chhoD jaane se
ho gaya hai hamara loss bahut
khane pine ke paD gae lale
chahiye family ko mas bahut
bachche udham machae rakhte hain
in ko lagti hai bhuk pyas bahut
sherni ne bhi roz laD laD kar
kar diya hai hamara nas bahut
wo samajhti hai aaj bhi haiga
mal-o-daulat hamare pas bahut
roz make-up ka chahiye saman
aur darkar hain libas bahut
us se shikwe shikayaten sun kar
tane deti hai hum ko sas bahut
ji mein aata hai KHud-kushi kar len
zindagani se hain niras bahut
par kabhi sochte hain shahr chalen
sungh li jangalon ki bas bahut
ja ke circus mein naukri kar len
gar milen to hain sau pachas bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.