sher ki Khaala
dekho kitchen meñ aaya kaun
chhoTā sā ye saayā kaun
chaal meñ kaisī ḳhāmoshī hai
chupke chupke vo aa.ī hai
bartan meñ kyā sūñgh rahī hai
duudh hai is meñ yā ki dahī hai
chūhoñ kī shauqīn bhī hai vo
thoḌī sī rangīn bhī hai vo
kutte se vo ghabrātī hai
dekh ke us ko katrātī hai
bachchoñ meñ ghul-mil jaatī hai
sher kī ḳhāla kahlātī hai
dekho kitchen mein aaya kaun
chhoTa sa ye saya kaun
chaal mein kaisi KHamoshi hai
chupke chupke wo aai hai
bartan mein kya sungh rahi hai
dudh hai is mein ya ki dahi hai
chuhon ki shauqin bhi hai wo
thoDi si rangin bhi hai wo
kutte se wo ghabraati hai
dekh ke us ko katraati hai
bachchon mein ghul-mil jati hai
sher ki KHala kahlati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.