shiraaza
reshmī malbūs meñ
vo gul-ruḳhoñ ke qāfile
is rang-o-bū ke shiir meñ
ham ajnabī dil-soḳhta yādoñ ke paiham silsile
mehrāb-e-dar se jhāñktā
saaqī kī chashm-e-mast kā
ruk ruk ke chalnā yaad hai
duniyā-e-būd-o-hast kā
is dāstāñ ke baab meñ
vo sīm-tan sho.ala-ba-jāñ
jin ke ruḳh-e-tābinda se
ye gulsitāñ raushan huā
jin ke lahū se harf bhī
ma.anī kā pairāhan banā
aa.e haiñ ham bhī DhūñDne
un mah-vashoñ ke naqsh-e-pā
āñkhoñ meñ ḳhvāb-e-hijr se
shiddat thī shauq-e-vasl meñ
lahore se shīrāz tak
chashm-e-zadan meñ kaT ga.e
sadiyoñ barābar fāsle
reshmi malbus mein
wo gul-ruKHon ke qafile
is rang-o-bu ke shir mein
hum ajnabi dil-soKHta yaadon ke paiham silsile
mehrab-e-dar se jhankta
saqi ki chashm-e-mast ka
ruk ruk ke chalna yaad hai
duniya-e-bud-o-hast ka
is dastan ke bab mein
wo sim-tan shoala-ba-jaan
jin ke ruKH-e-tabinda se
ye gulsitan raushan hua
jin ke lahu se harf bhi
mani ka pairahan bana
aae hain hum bhi DhunDne
un mah-washon ke naqsh-e-pa
aankhon mein KHwab-e-hijr se
shiddat thi shauq-e-wasl mein
lahore se shiraaz tak
chashm-e-zadan mein kaT gae
sadiyon barabar fasle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.