ek badan thā ek thā saayā
jumbish bhar se thirke kaayā
jism kī aañch nazar se chhalkī
chhāñv pe Tapkī sulgā chhāyā
jhuktī uThtīñ kasmas lapTeñ
saayā badle saath karvaTeñ
jism kī chādar paak anchhuī
aur saa.e par shoḳh silvaTeñ
jism ko aag kā jaadū aa.e
aur jaadū par kab qaabū aa.e
soz-e-badan kā saayā mahke
chhāñv se jism kī ḳhushbū aa.e
ek badan tha ek tha saya
jumbish bhar se thirke kaya
jism ki aanch nazar se chhalki
chhanw pe Tapki sulga chhaya
jhukti uThtin kasmas lapTen
saya badle sath karwaTen
jism ki chadar pak anchhui
aur sae par shoKH silwaTen
jism ko aag ka jadu aae
aur jadu par kab qabu aae
soz-e-badan ka saya mahke
chhanw se jism ki KHushbu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.