shisha-e-saat ka ghubar
maiñ zinda thā
magar maiñ tere surḳh nīl-gūñ safed bulbule meñ qaid thā
havā vasī.a thī magar hudūd se rihā na thī
na mere par shikasta the na merī saañs kam
thā bulbule kī kā.enāt meñ mirā hī dam-qadam
magar mirī uḌaan surḳh nīl-gūñ safed maqbare ke
āḳhirī ḳhutūt se sivā na thī
maiñ haal ke athāh pāniyoñ meñ ġharq
yā guzashta vaqt ke bhañvar ke dast-e-ātishīñ meñ ek said-e-zard thā
to maiñ ne kyā kiyā
ki apnī saañs rok kar ke, āñkheñ miich kar ke sar ko aage kar ke
shānoñ ko jhaTak ke
ek jast meñ hī jast kī sī sard chhat ko toḌ kar
maiñ us ke paar ho gayā
tilism se sadā uThī: ''hameñ shikast ho ga.ī
shikast ho ga.ī kast ho ga.ī ast ho ga.ī
........to ga.ī ........o ga.ī ........
shab-e-barāt
ātishīñ tamāshoñ kā samāñ
uThā ke merī bachchiyoñ ne nā-gahāñ
pachās paise ke anaar ke laboñ pe ek qatra naar rakh dī
ḳhaak ko ye garm bosa kab nasīb thaa!
anaar meñ jo qaid thā jo zarra zarra said thā
vo jin ubal paḌā
siyāhiyāñ safed surḳh nīl-gūñ tuyūr se chamak uThīñ
magar na jaane phir kidhar tuyūr uḌ ga.e
anaar ko shab-e-barāt ne nadī meñ dafn kar diyā
sadā-e-bāzgasht qatra qatra kañkaroñ kī tarah ġharq ho ga.ī
tilism rah gayā magar tilism meñ jo qaid thā
vo us sadā ke saath kho gayā
main zinda tha
magar main tere surKH nil-gun safed bulbule mein qaid tha
hawa wasia thi magar hudud se riha na thi
na mere par shikasta the na meri sans kam
tha bulbule ki kaenat mein mera hi dam-qadam
magar meri uDan surKH nil-gun safed maqbare ke
aaKHiri KHutut se siwa na thi
main haal ke athah paniyon mein gharq
ya guzashta waqt ke bhanwar ke dast-e-atishin mein ek said-e-zard tha
to main ne kya kiya
ki apni sans rok kar ke, aankhen mich kar ke sar ko aage kar ke
shanon ko jhaTak ke
ek jast mein hi jast ki si sard chhat ko toD kar
main us ke par ho gaya
tilism se sada uThi: hamen shikast ho gai
shikast ho gai kast ho gai ast ho gai
to gai o gai
shab-e-baraat
aatishin tamashon ka saman
uTha ke meri bachchiyon ne na-gahan
pachas paise ke anar ke labon pe ek qatra nar rakh di
KHak ko ye garm bosa kab nasib tha!
anar mein jo qaid tha jo zarra zarra said tha
wo jin ubal paDa
siyahiyan safed surKH nil-gun tuyur se chamak uThin
magar na jaane phir kidhar tuyur uD gae
anar ko shab-e-baraat ne nadi mein dafn kar diya
sada-e-bazgasht qatra qatra kankaron ki tarah gharq ho gai
tilism rah gaya magar tilism mein jo qaid tha
wo us sada ke sath kho gaya
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 235)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.