shishon ka masiha koi nahin
motī ho ki shīsha jaam ki dur
jo TuuT gayā so TuuT gayā
kab ashkoñ se juḌ saktā hai
jo TuuT gayā so chhūT gayā
tum nāhaq TukḌe chun chun kar
dāman meñ chhupā.e baiThe ho
shīshoñ kā masīhā koī nahīñ
kyā aas lagā.e baiThe ho
shāyad ki inhīñ TukḌoñ meñ kahīñ
vo sāġhar-e-dil hai jis meñ kabhī
sad-nāz se utrā kartī thī
sahbā-e-ġham-e-jānāñ kī parī
phir duniyā vāloñ ne tum se
ye sāġhar le kar phoḌ diyā
jo mai thī bahā dī miTTī meñ
mehmān kā shahpar toḌ diyā
ye rañgīñ reze haiñ shāyad
un shoḳh bilorīñ sapnoñ ke
tum mast javānī meñ jin se
ḳhalvat ko sajāyā karte the
nādārī daftar bhuuk aur ġham
un sapnoñ se Takrāte rahe
be-rahm thā chaumukh pathrāo
ye kāñch ke Dhāñche kyā karte
yā shāyad in zarroñ meñ kahīñ
motī hai tumhārī izzat kā
vo jis se tumhāre ijz pe bhī
shamshād-qadoñ ne rashk kiyā
is maal kī dhun meñ phirte the
tājir bhī bahut rahzan bhī ka.ī
hai chor-nagar yaañ muflis kī
gar jaan bachī to aan ga.ī
ye sāġhar shīshe lāl-o-gohar
sālim hoñ to qīmat paate haiñ
yuuñ TukḌe TukḌe hoñ to faqat
chubhte haiñ lahū rulvāte haiñ
tum nāhaq shīshe chun chun kar
dāman meñ chhupā.e baiThe ho
shīshoñ kā masīhā koī nahīñ
kyā aas lagā.e baiThe ho
yādoñ ke girebānoñ ke rafū
par dil kī guzar kab hotī hai
ik baḳhiya udheḌā ek siyā
yuuñ umr basar kab hotī hai
is kār-gah-e-hastī meñ jahāñ
ye sāġhar shīshe Dhalte haiñ
har shai kā badal mil saktā hai
sab dāman pur ho sakte haiñ
jo haath baḌhe yāvar hai yahāñ
jo aañkh uThe vo baḳhtāvar
yaañ dhan-daulat kā ant nahīñ
hoñ ghaat meñ Daaku laakh magar
kab lūT-jhapaT se hastī kī
dokāneñ ḳhālī hotī haiñ
yaañ parbat-parbat hiire haiñ
yaañ sāgar sāgar motī haiñ
kuchh log haiñ jo is daulat par
parde laTkāte phirte haiñ
har parbat ko har sāgar ko
nīlām chaḌhāte phirte haiñ
kuchh vo bhī haiñ jo laḌ bhiḌ kar
ye parde noch girāte haiñ
hastī ke uThā.ī-gīroñ kī
har chaal uljhā.e jaate haiñ
in donoñ meñ ran paḌtā hai
nit bastī-bastī nagar-nagar
har baste ghar ke siine meñ
har chaltī raah ke māthe par
ye kālak bharte phirte haiñ
vo jot jagāte rahte haiñ
ye aag lagāte phirte haiñ
vo aag bujhāte rahte haiñ
sab sāġhar shīshe lāl-o-gohar
is baazī meñ bad jaate haiñ
uTTho sab ḳhālī hāthoñ ko
is ran se bulāve aate haiñ
moti ho ki shisha jam ki dur
jo TuT gaya so TuT gaya
kab ashkon se juD sakta hai
jo TuT gaya so chhuT gaya
tum nahaq TukDe chun chun kar
daman mein chhupae baiThe ho
shishon ka masiha koi nahin
kya aas lagae baiThe ho
shayad ki inhin TukDon mein kahin
wo saghar-e-dil hai jis mein kabhi
sad-naz se utra karti thi
sahba-e-gham-e-jaanan ki pari
phir duniya walon ne tum se
ye saghar le kar phoD diya
jo mai thi baha di miTTi mein
mehman ka shahpar toD diya
ye rangin reze hain shayad
un shoKH bilorin sapnon ke
tum mast jawani mein jin se
KHalwat ko sajaya karte the
nadari daftar bhuk aur gham
un sapnon se Takraate rahe
be-rahm tha chaumukh pathrao
ye kanch ke Dhanche kya karte
ya shayad in zarron mein kahin
moti hai tumhaari izzat ka
wo jis se tumhaare ijz pe bhi
shamshad-qadon ne rashk kiya
is mal ki dhun mein phirte the
tajir bhi bahut rahzan bhi kai
hai chor-nagar yan muflis ki
gar jaan bachi to aan gai
ye saghar shishe lal-o-gohar
salim hon to qimat pate hain
yun TukDe TukDe hon to faqat
chubhte hain lahu rulwate hain
tum nahaq shishe chun chun kar
daman mein chhupae baiThe ho
shishon ka masiha koi nahin
kya aas lagae baiThe ho
yaadon ke girebanon ke rafu
par dil ki guzar kab hoti hai
ek baKHiya udheDa ek siya
yun umr basar kab hoti hai
is kar-gah-e-hasti mein jahan
ye saghar shishe Dhalte hain
har shai ka badal mil sakta hai
sab daman pur ho sakte hain
jo hath baDhe yawar hai yahan
jo aankh uThe wo baKHtawar
yan dhan-daulat ka ant nahin
hon ghat mein Daku lakh magar
kab luT-jhapaT se hasti ki
dokanen KHali hoti hain
yan parbat-parbat hire hain
yan sagar sagar moti hain
kuchh log hain jo is daulat par
parde laTkate phirte hain
har parbat ko har sagar ko
nilam chaDhate phirte hain
kuchh wo bhi hain jo laD bhiD kar
ye parde noch giraate hain
hasti ke uThai-giron ki
har chaal uljhae jate hain
in donon mein ran paDta hai
nit basti-basti nagar-nagar
har baste ghar ke sine mein
har chalti rah ke mathe par
ye kalak bharte phirte hain
wo jot jagate rahte hain
ye aag lagate phirte hain
wo aag bujhate rahte hain
sab saghar shishe lal-o-gohar
is bazi mein bad jate hain
uTTho sab KHali hathon ko
is ran se bulawe aate hain
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 166)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.