shikayat
shafaq kī dulhan apne ġhurfe se kab tak mujhe dekh kar muskurātī rahegī
sunahrī libāde kī zar-kār kirneñ kahāñ tak yūñhī gungunātī raheñgī
kahāñ tak zamurrad ke parde pe ye surḳh phūloñ ke naġhme machalte raheñge
ki āḳhir koī chāñd koī añdherā kisī sharq-e-tīra ke dar se nikal kar
abhī us ko pahnā.egā tīrgī kā vo jaama ki us kī javāñ ret umañgeñ
sitāre uḌātī huī Duub jā.eñgī maġhrib kī ḳhāmosh ḳhūnīñ ḳhalā meñ
shafaq kī dulhan jhāñk kar dekhtī hai
mujhe dekhtī hai
mire dil ke bujhte hue surḳh sho.aloñ kī parvāz-e-be-kār ko dekhtī hai
ki ye zindagī jo vadī.at huī thī ki har samt sailāb naġhma bahā de
husūl-e-musarrat kī ḳhātir har ik sañg-e-ḳhārā ko ik marmarīñ but banā de
vo but jo har ik taan par muskurā de har ik samt sailāb-e-naġhma bahā de
har ik naġhma tārīk rātoñ ke sīnoñ ko yuuñ gudgudā de
ki tārīkiyoñ se vo anvār phūTīñ jinheñ āftāb-e-sahar ḳhud sadā de
magar ab yahī zindagī bujh rahī hai zamāne ke betāb āb-e-ravāñ meñ
shafaq kī dulhan jhāñk kar dekhtī hai kise dekhtī hai mujhe dekhtī hai
mujhe dekhtī hai to maiñ apne ġhurfe kī bāñhoñ ko milne kī tākīd kar duuñ
ki maiñ to usī haal meñ rāt-din vaqt ke nūr-o-zulmat meñ ghultā rahā huuñ
mire paas koī sunahrī-labāda nahīñ hai na koī zamurrad ke parde
mujhe be-sabab dekhne meñ hai kyā ab ki maiñ is ko hāsil nahīñ kar sakūñgā
mujhe apnī din-bhar kī thak-hār kar mere paas aane vaalī dulhan se ġharaz hai
mirī zard-rū multajī aur behis dulhan mujh ko aise kahāñ dekhtī hai
use us se kyā bujh rahā huuñ damā-dam damā-dam piyāpe piyāpe o damā-dam
use aisī bātoñ se raġhbat nahīñ hai
use to ġharaz us se hai thak chukī hai gharelū shab-o-roz kī uljhanoñ se
ye us kā taqāzā hai le jā.ūñ us ko kahīñ duur bādal se parbat se bhī duur
jahāñ huuñ sunahrī libādoñ kī kirneñ vo zar-kār kirneñ ki jo gungunā.eñ
jahāñ huuñ zamurrad ke pardoñ pe ḳhuuñ rañg phūloñ ke naġhme ki jo muskurā.eñ
jahāñ nelmī sard ġhurfe huuñ ġhurfe
zarā khol duuñ apne ġhurfe kī bāheñ
shafaq kī dulhan jā chukī hai har ik samt haiñ āsmāñ parastāroñ ke aañsū
idhar aa idhar aa mirī zard-rū merī behis dulhan merī āġhosh meñ aa
ki maiñ Dar rahā thā
mujhe dekhtī thī shafaq kī dulhan tere hote hue bhī mujhe dekhtī thī
mujhe ghūrtī thī
shafaq ki dulhan apne ghurfe se kab tak mujhe dekh kar muskuraati rahegi
sunahri libaade ki zar-kar kirnen kahan tak yunhi gungunati rahengi
kahan tak zamurrad ke parde pe ye surKH phulon ke naghme machalte rahenge
ki aaKHir koi chand koi andhera kisi sharq-e-tira ke dar se nikal kar
abhi us ko pahnaega tirgi ka wo jama ki us ki jawan ret umangen
sitare uDati hui Dub jaengi maghrib ki KHamosh KHunin KHala mein
shafaq ki dulhan jhank kar dekhti hai
mujhe dekhti hai
mere dil ke bujhte hue surKH shoalon ki parwaz-e-be-kar ko dekhti hai
ki ye zindagi jo wadiat hui thi ki har samt sailab naghma baha de
husul-e-musarrat ki KHatir har ek sang-e-KHara ko ek marmarin but bana de
wo but jo har ek tan par muskura de har ek samt sailab-e-naghma baha de
har ek naghma tarik raaton ke sinon ko yun gudguda de
ki tarikiyon se wo anwar phuTin jinhen aaftab-e-sahar KHud sada de
magar ab yahi zindagi bujh rahi hai zamane ke betab aab-e-rawan mein
shafaq ki dulhan jhank kar dekhti hai kise dekhti hai mujhe dekhti hai
mujhe dekhti hai to main apne ghurfe ki banhon ko milne ki takid kar dun
ki main to usi haal mein raat-din waqt ke nur-o-zulmat mein ghulta raha hun
mere pas koi sunahri-labaada nahin hai na koi zamurrad ke parde
mujhe be-sabab dekhne mein hai kya ab ki main is ko hasil nahin kar sakunga
mujhe apni din-bhar ki thak-haar kar mere pas aane wali dulhan se gharaz hai
meri zard-ru multaji aur behis dulhan mujh ko aise kahan dekhti hai
use us se kya bujh raha hun dama-dam dama-dam piyape piyape o dama-dam
use aisi baaton se raghbat nahin hai
use to gharaz us se hai thak chuki hai gharelu shab-o-roz ki uljhanon se
ye us ka taqaza hai le jaun us ko kahin dur baadal se parbat se bhi dur
jahan hun sunahri libaadon ki kirnen wo zar-kar kirnen ki jo gungunaen
jahan hun zamurrad ke pardon pe KHun rang phulon ke naghme ki jo muskuraen
jahan nelmi sard ghurfe hun ghurfe
zara khol dun apne ghurfe ki bahen
shafaq ki dulhan ja chuki hai har ek samt hain aasman parastaron ke aansu
idhar aa idhar aa meri zard-ru meri behis dulhan meri aaghosh mein aa
ki main Dar raha tha
mujhe dekhti thi shafaq ki dulhan tere hote hue bhi mujhe dekhti thi
mujhe ghurti thi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 347)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.