shikast
band ataichī meñ
paḌā huā mil jaatā hai
purāne coat kī jeb meñ
haath Dālte hī bāhar aa jaatā hai
purānī fā.iloñ se jhāñktā hai
shahr kī saḌkoñ par chalte hue
ajnabī hoñToñ par raqs kartā hai
ā.īne ke sāmne aate hī
nazar aatā hai
vo merī āñkhoñ meñ chamaktā hai
ab bhī mere siine meñ
dhaḌaktā hai
maiñ us kā vajūd miTā nahīñ saktā
maiñ use bhulā nahīñ saktā
band ataichi mein
paDa hua mil jata hai
purane coat ki jeb mein
hath Dalte hi bahar aa jata hai
purani failon se jhankta hai
shahr ki saDkon par chalte hue
ajnabi honTon par raqs karta hai
aaine ke samne aate hi
nazar aata hai
wo meri aankhon mein chamakta hai
ab bhi mere sine mein
dhaDakta hai
main us ka wajud miTa nahin sakta
main use bhula nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.