shikast-e-rang
mujhe maġhlūb karne ko
mire jazbāt ke andoḳhta hīloñ ko uksā kar vo kahte haiñ
tirī āñkhoñ tirī bāñhoñ meñ
jannat ke shagūfoñ kī mahak
āsā.ishoñ kī lazzatoñ kā lams rachtā hai
magar ab ḳhvāhisheñ paañv pakaḌtī haiñ
na.e ḳhvāboñ ke jāloñ meñ ulajhte saañs kahte haiñ
kabhī to phaile hāthoñ ke tamavvuj meñ simaT jaane kī tarġhīb-o-ishārat ko
guzartī sā.atoñ se māvarā aise zamānoñ kī
fazā samjho
jahāñ saa.e simaT kar ek huuñ
taslīm-e-jāñ tak kī humak jaage
kabhī Thahro
kabhī baḌhtī huī maujoñ se ham-āġhosh hotī
tez lahroñ kī fazā hone meñ
yak-jānī kī pinhāñ sarḳhushī dekho
kabhī us jabr-e-be-andāz ke phande se niklo
aur racho us meñ ki vo ḳhud tum meñ rachne ke liye betāb daa.im hai
rachāo haath meñ is tarah mehñdī
log kah uThīñ
use chāhat kī be-pāyāñ tapish kī hiddateñ gulzār kartī haiñ
rachāo haath meñ is tarah mehñdī
ye tapāñ nañgī hathelī apnā paikar
surḳhiyoñ se Dhāñp le aise
ki dil ke tishnagī āsār jazbe bhī
tazabzub ke dhuñdlakoñ se nikal kar
roz-o-shab kī naġhmagī ko jazb karne par huuñ āmāda
magar rañgoñ ko āḳhir
jabr-e-be-rañgī kā ḳhamyāza muqaddar hai
agar yuuñ apne hāthoñ se lagā.ī mehñdiyoñ ke rañg uḌ jaa.eñ
to hasrat-zada āñkheñ kise chāheñ
kise pāband-e-dar samjheñ
kise DhūñDeñ
mujhe maghlub karne ko
mere jazbaat ke andoKHta hilon ko uksa kar wo kahte hain
teri aankhon teri banhon mein
jannat ke shagufon ki mahak
aasaishon ki lazzaton ka lams rachta hai
magar ab KHwahishen panw pakaDti hain
nae KHwabon ke jalon mein ulajhte sans kahte hain
kabhi to phaile hathon ke tamawwuj mein simaT jaane ki targhib-o-ishaarat ko
guzarti saaton se mawara aise zamanon ki
faza samjho
jahan sae simaT kar ek hun
taslim-e-jaan tak ki humak jage
kabhi Thahro
kabhi baDhti hui maujon se ham-aghosh hoti
tez lahron ki faza hone mein
yak-jaani ki pinhan sarKHushi dekho
kabhi us jabr-e-be-andaz ke phande se niklo
aur racho us mein ki wo KHud tum mein rachne ke liye betab daim hai
rachao hath mein is tarah mehndi
log kah uThin
use chahat ki be-payan tapish ki hiddaten gulzar karti hain
rachao hath mein is tarah mehndi
ye tapan nangi hatheli apna paikar
surKHiyon se Dhanp le aise
ki dil ke tishnagi aasar jazbe bhi
tazabzub ke dhundlakon se nikal kar
roz-o-shab ki naghmagi ko jazb karne par hun aamada
magar rangon ko aaKHir
jabr-e-be-rangi ka KHamyaza muqaddar hai
agar yun apne hathon se lagai mehndiyon ke rang uD jaen
to hasrat-zada aankhen kise chahen
kise paband-e-dar samjhen
kise DhunDen
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 399)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.