shikast-e-tauba
saaqī kī har nigāh pe bal khā ke pī gayā
lahroñ se kheltā huā lahrā ke pī gayā
be-kaifiyoñ ke kaif se ghabrā ke pī gayā
tauba ko toḌ-tāḌ ke tharrā ke pī gayā
zāhid! ye terī shoḳhī-e-rindāna dekhnā
rahmat ko bātoñ bātoñ meñ bahlā ke pī gayā
sar-mastī-e-azal mujhe jab yaad aa ga.ī
duniyā-e-e'tibār ko Thukrā ke pī gayā
āzurdagī-e-ḳhātir-e-sāqī ko dekh kar
mujh ko ye sharm aa.ī ki sharmā ke pī gayā
ai rahmat-e-tamām mirī har ḳhatā muaaf
maiñ intihā-e-shauq meñ ghabrā ke pī gayā
piitā baġhair izn ye kab thī mirī majāl
dar-parda chashm-e-yār kī shah pā ke pī gayā
us jān-e-mai-kada kī qasam bārhā 'jigar'
kul ālam-e-basīt pe maiñ chhā ke pī gayā
saqi ki har nigah pe bal kha ke pi gaya
lahron se khelta hua lahra ke pi gaya
be-kaifiyon ke kaif se ghabra ke pi gaya
tauba ko toD-taD ke tharra ke pi gaya
zahid! ye teri shoKHi-e-rindana dekhna
rahmat ko baaton baaton mein bahla ke pi gaya
sar-masti-e-azal mujhe jab yaad aa gai
duniya-e-e'tibar ko Thukra ke pi gaya
aazurdagi-e-KHatir-e-saqi ko dekh kar
mujh ko ye sharm aai ki sharma ke pi gaya
ai rahmat-e-tamam meri har KHata muaf
main intiha-e-shauq mein ghabra ke pi gaya
pita baghair izn ye kab thi meri majal
dar-parda chashm-e-yar ki shah pa ke pi gaya
us jaan-e-mai-kada ki qasam barha 'jigar'
kul aalam-e-basit pe main chha ke pi gaya
- Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 411)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.