shikast
zamīn-e-sañg se sūraj ugāne vaale haath
kise ḳhabar thī ki us shahr meñ qalam hoñge
jahāñ se parcham-e-dast-e-hunar buland huā
zamīñ aqīda-e-fardā se lāla-rañg huī
ufuq sitāra-e-mehnat se arjmand huā
aur ab ke baar qalam bhī unhīñ ke saath rahe
jo apnī fat.h ke nashshe meñ chuur naḳhvat se
durīda-dāmani-e-ahl-e-dil pe hañste haiñ
fuġhān-e-qāfila-e-muzmahil pe hañste haiñ
zamin-e-sang se suraj ugane wale hath
kise KHabar thi ki us shahr mein qalam honge
jahan se parcham-e-dast-e-hunar buland hua
zamin aqida-e-farda se lala-rang hui
ufuq sitara-e-mehnat se arjmand hua
aur ab ke bar qalam bhi unhin ke sath rahe
jo apni fath ke nashshe mein chur naKHwat se
durida-damani-e-ahl-e-dil pe hanste hain
fughan-e-qafila-e-muzmahil pe hanste hain
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.