mire kaleje kī rag rag se huuk uThtī hai
mujhe mirī har shikastoñ kī dāstāñ na sunā
na pūchh mujh se mirī ḳhāmushī kā raaz na pūchh
mire dimāġh kā har gosha dukh rahā hai abhī
fazā-e-zulmat-e-māzī meñ ai mire hamdam
Dhake Dhake se mirī kāmrāniyoñ ke nishāñ
udaas udaas nigāhoñ kī sham.a se na TaTol
har ik ke siina pe bār-e-shikast hai is vaqt
tirā ḳhulūs mirī dāstāñ kā unvāñ hai
mire habīb mujhe ab to apnī mohlat de
ki apne dard ko dil meñ chhupā ke ġham-ḳhurda
jahāñ se duur kahīñ us taraf nikal jā.ūñ
vo dekh vaqt ke chehre pe saaf likkhā hai
ki ye shikast mirī āḳhirī shikast nahīñ
mere kaleje ki rag rag se huk uThti hai
mujhe meri har shikaston ki dastan na suna
na puchh mujh se meri KHamushi ka raaz na puchh
mere dimagh ka har gosha dukh raha hai abhi
faza-e-zulmat-e-mazi mein ai mere hamdam
Dhake Dhake se meri kaamraniyon ke nishan
udas udas nigahon ki shama se na TaTol
har ek ke sina pe bar-e-shikast hai is waqt
tera KHulus meri dastan ka unwan hai
mere habib mujhe ab to apni mohlat de
ki apne dard ko dil mein chhupa ke gham-KHurda
jahan se dur kahin us taraf nikal jaun
wo dekh waqt ke chehre pe saf likkha hai
ki ye shikast meri aaKHiri shikast nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.