shikasta suraj
shikasta sūraj ke saare TukḌoñ ko
kachche dhāge se bāñdhtā huuñ
ragoñ meñ petrol phailtā hai to
ḳhālī jeboñ se chāñd taare nikāltā huuñ
ufuq kī gardan pe paañv rakh kar
maiñ jab bhī sarhad phalāñgtā huuñ
hazāroñ nāḳhun
ḳhalā meñ mujh ko dabochte haiñ
hazāroñ nāḳhun
utaar lete haiñ khaal merī
hazāroñ nāḳhun
mirī ragoñ meñ girah lagā kar
usī se sūraj ke saare TukḌoñ ko bāñdhte haiñ
hazāroñ nāḳhun
mire badan kī shikasta sarhad phalāñgte haiñ
shikasta suraj ke sare TukDon ko
kachche dhage se bandhta hun
ragon mein petrol phailta hai to
KHali jebon se chand tare nikalta hun
ufuq ki gardan pe panw rakh kar
main jab bhi sarhad phalangta hun
hazaron naKHun
KHala mein mujh ko dabochte hain
hazaron naKHun
utar lete hain khaal meri
hazaron naKHun
meri ragon mein girah laga kar
usi se suraj ke sare TukDon ko bandhte hain
hazaron naKHun
mere badan ki shikasta sarhad phalangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.