shikwa
shab-e-vasl kyoñ haiñ rulāne kī bāteñ
karo kuchh to hañsne hañsāne kī bāteñ
dil-e-nā-tavāñ ko manāne kī bāteñ
nahīñ haiñ nahīñ haath aane kī bāteñ
munāsib hai kuchh intizām-e-masarrat
pilāo pilāo sharāb-e-mohabbat
tumhī kah do kuchh had hai zulm-o-jafā kī
vafā kī tarah saarī duniyā hai shākī
kabhī ye adā kī kabhī vo adā kī
rahī shakl abtar dil-e-mubtalā kī
nahīñ haiñ nahīñ haiñ mohabbat kī bāteñ
haqīqat meñ ye haiñ adāvat kī bāteñ
shab-e-wasl kyon hain rulane ki baaten
karo kuchh to hansne hansane ki baaten
dil-e-na-tawan ko manane ki baaten
nahin hain nahin hath aane ki baaten
munasib hai kuchh intizam-e-masarrat
pilao pilao sharab-e-mohabbat
tumhi kah do kuchh had hai zulm-o-jafa ki
wafa ki tarah sari duniya hai shaki
kabhi ye ada ki kabhi wo ada ki
rahi shakl abtar dil-e-mubtala ki
nahin hain nahin hain mohabbat ki baaten
haqiqat mein ye hain adawat ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.