shikwa
Interesting Fact
The cry of the helpless loneliness of the old wife of a debaucher Jagir-Dar.
ye tire hoñT ye ruḳhsār ye ḳhāmosh nazar
jaise mandar meñ saje baiThe hoñ patthar ke sanam
maiñ to har roz na.e diip liye aatī huuñ
tū ne anjān bane rahne kī khaa.ī hai qasam
maiñ huuñ tasvīr-e-vafā mujh se gurezāñ kyoñ hai
ishq kī lauh pe kyā maiñ huuñ koī harf-e-ġhalat
tū ne kitnoñ ko navāzā hai karam se apne
maiñ to rahtī huuñ yahāñ sūrat-e-aġhyār faqat
log dete haiñ tujhe gauhar-e-nāyāb to kyā
maiñ to detī huuñ tujhe qalb-o-nazar kī sauġhāt
tujh ko mālūm hai tū ḳhuub mujhe jāntā hai
terī hī zaat meñ gum rahtī hai har dam mirī zaat
maiñ ne jo phuul bikhere haiñ tire qadmoñ par
kitne taaza haiñ zarā ek nazar dekh to le
ḳhuun rotī huī āñkheñ ye shikasta dāman
yuuñ bhī rangīn haiñ ye shām-o-sahar dekh to le
kitnī muddat se khaḌī huuñ yahī ummīd liye
aaj mumkin hai ki tū merī mohabbat māñge
shāyad āñkheñ tirī ḳhud merī mohabbat māñgeñ
tere dil meñ mirī ulfat kī tamannā jaage
ye tere honT ye ruKHsar ye KHamosh nazar
jaise mandar mein saje baiThe hon patthar ke sanam
main to har roz nae dip liye aati hun
tu ne anjaan bane rahne ki khai hai qasam
main hun taswir-e-wafa mujh se gurezan kyon hai
ishq ki lauh pe kya main hun koi harf-e-ghalat
tu ne kitnon ko nawaza hai karam se apne
main to rahti hun yahan surat-e-aghyar faqat
log dete hain tujhe gauhar-e-nayab to kya
main to deti hun tujhe qalb-o-nazar ki saughat
tujh ko malum hai tu KHub mujhe jaanta hai
teri hi zat mein gum rahti hai har dam meri zat
main ne jo phul bikhere hain tere qadmon par
kitne taza hain zara ek nazar dekh to le
KHun roti hui aankhen ye shikasta daman
yun bhi rangin hain ye sham-o-sahar dekh to le
kitni muddat se khaDi hun yahi ummid liye
aaj mumkin hai ki tu meri mohabbat mange
shayad aankhen teri KHud meri mohabbat mangen
tere dil mein meri ulfat ki tamanna jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.