ban-bas
maiñ ki ḳhud apnī hī āvāz ke sho.aloñ kā asiir
maiñ ki ḳhud apnī hī zanjīr kā zindānī huuñ
kaun samjhegā jahāñ meñ mire zaḳhmoñ kā hisāb
kis ko ḳhush aa.egā is dahr meñ rūhoñ kā azaab
kaun aa kar mire miTne kā tamāshā dekhe
kis ko fursat ki ujaḌtī huī duniyā dekhe
kaun bhaḌkī huī is aag ko apnā.egā
jo bhī aa.egā mire saath hī jal jā.egā
vo ghaḌī kaun thī jab mujh ko milā thā ban-bās
ek jhoñkā bhī havā kā na vatan se aayā
ne koī nik.hat-e-gul aur na koī mauj-e-nasīm
phir koī DhūñDne mujh ko na chaman se aayā
maiñ vo ik laal huuñ jo bik gayā bāzāroñ meñ
phir koī pūchhne mujh ko na yaman se aayā
yaad karte hue ik yūsuf-e-gum-gashta ko
kuchh dinoñ roī to hogī mire ghar kī dīvār
kuchh dinoñ gaañv kī galiyoñ meñ udāsī hogī
kuchh dinoñ khul na sake hoñge tire haar siñghār
kuchh dinoñ ke liye sunsān sā lagtā hogā
aam ke baaġh meñ bechain phirī hogī bahār
maiñ ne ik peḌ pe jo naam likhā thā apnā
kuchh dinoñ zaḳhm ke mānind vo taaza hogā
mere sab dost use dekh ke kahte hoñge
jaane kis des meñ bechāra bhaTaktā hogā
umr bhar kaun kise yaad kiyā kartā hai
ek ik kar ke mujhe sab ne bhulāyā hogā
haa.e un ko bhī ḳhabar kyā ki vo ik zaḳhm-nasīb
zindagī ke liye niklā thā jo raahī ban kar
aaj tak pā na sakā chashma-e-āb-e-haivāñ
us ko sūraj bhī mile haiñ to siyāhī ban kar
ghar se laayā thā jo kuchh tab-e-ravāñ zehn-e-rasā
saath us ke rahe asbāb-e-tabāhī ban kar
merā ye jurm ki maiñ sāhab-e-idrāk-o-shu.ūr
merā ye aib ki ik shā.ir o fankār huuñ maiñ
mujh ko ye zid hai ki maiñ sar na jhukā.ūñgā kabhī
mujh ko isrār ki jiine kā sazā-vār huuñ maiñ
mujh ko ye faḳhr ki maiñ haqq-o-sadāqat kā amiiñ
mujh ko ye zo.am ḳhud-āgāh huuñ ḳhuddār huuñ maiñ
ek ik moḌ pe ālām o masā.ib ke pahāḌ
ek ik gaam pe āfāt se Takrāyā huuñ
ek ik zahr ko hañs hañs ke piyā hai maiñ ne
ek ik zaḳhm ko chun chun ke uThā laayā huuñ
ek ik lamhe kī zanjīr se maiñ uljhā huuñ
ek ik saañs pe ḳhud aap se sharmāyā huuñ
yuuñ to kahne kī nahīñ baat magar kahtā huuñ
pyaar kā naam kitāboñ meñ likhā dekhā hai
jab kabhī haath baḌhāyā hai kisī kī jānib
fāsla aur bhī kuchh baḌhtā huā dekhā hai
buuñd bhar de na sakā koī mohabbat kī sharāb
yuuñ to mai-ḳhāne kā mai-ḳhāna luTā dekhā hai
main ki KHud apni hi aawaz ke shoalon ka asir
main ki KHud apni hi zanjir ka zindani hun
kaun samjhega jahan mein mere zaKHmon ka hisab
kis ko KHush aaega is dahr mein ruhon ka azab
kaun aa kar mere miTne ka tamasha dekhe
kis ko fursat ki ujaDti hui duniya dekhe
kaun bhaDki hui is aag ko apnaega
jo bhi aaega mere sath hi jal jaega
wo ghaDi kaun thi jab mujh ko mila tha ban-bas
ek jhonka bhi hawa ka na watan se aaya
ne koi nikhat-e-gul aur na koi mauj-e-nasim
phir koi DhunDne mujh ko na chaman se aaya
main wo ek lal hun jo bik gaya bazaron mein
phir koi puchhne mujh ko na yaman se aaya
yaad karte hue ek yusuf-e-gum-gashta ko
kuchh dinon roi to hogi mere ghar ki diwar
kuchh dinon ganw ki galiyon mein udasi hogi
kuchh dinon khul na sake honge tere haar singhaar
kuchh dinon ke liye sunsan sa lagta hoga
aam ke bagh mein bechain phiri hogi bahaar
main ne ek peD pe jo nam likha tha apna
kuchh dinon zaKHm ke manind wo taza hoga
mere sab dost use dekh ke kahte honge
jaane kis des mein bechaara bhaTakta hoga
umr bhar kaun kise yaad kiya karta hai
ek ek kar ke mujhe sab ne bhulaya hoga
hae un ko bhi KHabar kya ki wo ek zaKHm-nasib
zindagi ke liye nikla tha jo rahi ban kar
aaj tak pa na saka chashma-e-ab-e-haiwan
us ko suraj bhi mile hain to siyahi ban kar
ghar se laya tha jo kuchh tab-e-rawan zehn-e-rasa
sath us ke rahe asbab-e-tabahi ban kar
mera ye jurm ki main sahab-e-idrak-o-shuur
mera ye aib ki ek shair o fankar hun main
mujh ko ye zid hai ki main sar na jhukaunga kabhi
mujh ko israr ki jine ka saza-war hun main
mujh ko ye faKHr ki main haqq-o-sadaqat ka amin
mujh ko ye zoam KHud-agah hun KHuddar hun main
ek ek moD pe aalam o masaib ke pahaD
ek ek gam pe aafat se Takraya hun
ek ek zahr ko hans hans ke piya hai main ne
ek ek zaKHm ko chun chun ke uTha laya hun
ek ek lamhe ki zanjir se main uljha hun
ek ek sans pe KHud aap se sharmaya hun
yun to kahne ki nahin baat magar kahta hun
pyar ka nam kitabon mein likha dekha hai
jab kabhi hath baDhaya hai kisi ki jaanib
fasla aur bhi kuchh baDhta hua dekha hai
bund bhar de na saka koi mohabbat ki sharab
yun to mai-KHane ka mai-KHana luTa dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.