shimla
hasīn jalve butoñ ke kahāñ kahāñ na mile
yahāñ mile jo kahīñ zer-e-āsmāñ na mile
hujūm-e-shimla meñ āñkheñ taras ga.iiñ sāhab
mujhe talāsh hai jin kī vo mehrbāñ na mile
bas ek ājiz-e-ḳhasta hai muġhtanim varna
suḳhan-shanās suḳhan-dost ham-zabāñ na mile
ye kohsār ye ashjār ye chaman ye bahār
maiñ vo parinda jise shāḳh-e-āshiyāñ na mile
sazā mile kisī bad-zauq ko to baat bhī hai
sitam to ye hai ki shā.ir ko bhī makāñ na mile
ba-nām 'arsh' bulandī kā mudda.ī huuñ maiñ
durust hai ki zamīñ par mujhe amaañ na mile
hasin jalwe buton ke kahan kahan na mile
yahan mile jo kahin zer-e-asman na mile
hujum-e-shimla mein aankhen taras gain sahab
mujhe talash hai jin ki wo mehrban na mile
bas ek aajiz-e-KHasta hai mughtanim warna
suKHan-shanas suKHan-dost ham-zaban na mile
ye kohsar ye ashjar ye chaman ye bahaar
main wo parinda jise shaKH-e-ashiyan na mile
saza mile kisi bad-zauq ko to baat bhi hai
sitam to ye hai ki shair ko bhi makan na mile
ba-nam 'arsh' bulandi ka muddai hun main
durust hai ki zamin par mujhe aman na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.