shirkat-e-mahfil
tū hamesha rahtā hai chīñ-bar-jabīñ afsurda dil
phir kisī kī bazm-e-ishrat meñ na jā bahr-e-ḳhudā
ḳhud hī apnī jaan se be-zār tū insāf kar
tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah ḳhush hoñge bhalā
chāhiye is tarah jaanā mahfil-e-ahbāb meñ
baaġh meñ jis tarah ḳhush ḳhush aatī hai bād-e-sabā
ḳhair-maqdam kā ishāra jhuum kar kartī hai shāḳh
aur chaTak kar detī haiñ kaliyāñ sadā-e-marhabā
jis shajar ke paas se guzre lagā vo jhūmne
pahuñche jis ġhunche tak afsurda thā vo hañsne lagā
dil pe jo guzre vo guzre kyuuñ kisī ko ho ḳhabar
sab se baḌh kar hai ḳhudā tū haal dil kā jāntā
shādī-o-ġham jab ki donoñ haiñ jahāñ meñ be-sabāt
vaqt apnā kaaT de hañs bol kar bahr-e-ḳhudā
tu hamesha rahta hai chin-bar-jabin afsurda dil
phir kisi ki bazm-e-ishrat mein na ja bahr-e-KHuda
KHud hi apni jaan se be-zar tu insaf kar
tujh se ahl-e-bazm phir kis tarah KHush honge bhala
chahiye is tarah jaana mahfil-e-ahbab mein
bagh mein jis tarah KHush KHush aati hai baad-e-saba
KHair-maqdam ka ishaara jhum kar karti hai shaKH
aur chaTak kar deti hain kaliyan sada-e-marhaba
jis shajar ke pas se guzre laga wo jhumne
pahunche jis ghunche tak afsurda tha wo hansne laga
dil pe jo guzre wo guzre kyun kisi ko ho KHabar
sab se baDh kar hai KHuda tu haal dil ka jaanta
shadi-o-gham jab ki donon hain jahan mein be-sabaat
waqt apna kaT de hans bol kar bahr-e-KHuda
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 120)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.