shoala-e-ishq
nāz-o-andāz hasīnoñ ke
vo ashre ġhamze
baa'd marne ke mire ḳhatm hue
ab na nāḳhun meñ hinā hai na surma hai kahīñ āñkhoñ meñ
jo mire dam se thā
ki maiñ āshiq thā akelā tanhā
baa'd mere kyā ye mansab koī pā.egā kabhī
shola-e-sham.a siyah-posh huā
mātam meñ dhuāñ ban ke
kahīñ ḳhāmosh huā
sham.a raushan thī bujh ga.ī jalte jalte
baa'd marne ke mire ishq kī hālat hai yahī
ki kahīñ gum ho gayā vo rote rote
naz-o-andaz hasinon ke
wo ashre ghamze
ba'd marne ke mere KHatm hue
ab na naKHun mein hina hai na surma hai kahin aankhon mein
jo mere dam se tha
ki main aashiq tha akela tanha
ba'd mere kya ye mansab koi paega kabhi
shola-e-shama siyah-posh hua
matam mein dhuan ban ke
kahin KHamosh hua
shama raushan thi bujh gai jalte jalte
ba'd marne ke mere ishq ki haalat hai yahi
ki kahin gum ho gaya wo rote rote
- Book : Banam-e-Ghalib (Pg. 58)
- Author : Salahuddin Parvez
- Publication : Educational Publishing House, Aligrah (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.