shoale
dil meñ kam-zarf ke uThtī haiñ hasad kī lapTeñ
ātish-e-ishq se āshiq kā jigar jaltā hai
qalb-e-ma.asūm meñ har ābid-e-pākīza ke
sho.ala-e-ḳhvāhish-e-irfān-e-ḳhudā paltā hai
maiñ na hāsid huuñ na āshiq huuñ na aabid ai dost
phir bhī angāroñ pe har-vaqt rahā kartā huuñ
merī qismat meñ hai ehsās-e-ḳhudī kī hiddat
apnī hī aag meñ din-rāt jalā kartā huuñ
dil mein kam-zarf ke uThti hain hasad ki lapTen
aatish-e-ishq se aashiq ka jigar jalta hai
qalb-e-masum mein har aabid-e-pakiza ke
shoala-e-KHwahish-e-irfan-e-KHuda palta hai
main na hasid hun na aashiq hun na aabid ai dost
phir bhi angaron pe har-waqt raha karta hun
meri qismat mein hai ehsas-e-KHudi ki hiddat
apni hi aag mein din-raat jala karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.