shor-alud
ek muddat huī
dasht-e-āvāz meñ
koī tanhā sadā
ḳhāmushī kī navā
maiñ nahīñ sun sakā
gosh-e-muflis mire
ab tarasne lage haiñ
ki fitrat kī āvāz ġham ho ga.ī
zindagī apne hañgām meñ kho ga.ī
shorish-e-gosh-o-lab
kaash ki tham sake
tū mujhe ḳhud-kalāmī kā mauqa mile
maiñ taḳhayyul kī aahaT sunūñ
aur taḳhlīq ke an-sune giit gaane lagūñ
shor-o-ġhul ke ta.affun-zada aise māhaul meñ
ye faqat ḳhvāb hai
ab kahāñ
vo ḳhalāoñ ke jaisā sukūt-e-azal
vo samundar kī tah kā sukūn-e-abad
is ḳharābe meñ ab
sāz-o-āvāz kī
maḳhmalī Doriyāñ
ḳhār-o-ḳhāshāk hone lagīñ
dard-e-āsār hone lagīñ
ik ghuTan sī fazāoñ meñ paivast hai
daur-e-ījād kī
mustaqil gaḌgaḌāhaT
samā.at ko banjar kiye jā rahī hai
ḳhayālāt maflūj hone lage haiñ
mirī ruuh vahshat-zada hai
sar-e-arsa-e-ḳhastagī
ḳhāmushī lāpata hai
ek muddat hui
dasht-e-awaz mein
koi tanha sada
KHamushi ki nawa
main nahin sun saka
gosh-e-muflis mere
ab tarasne lage hain
ki fitrat ki aawaz gham ho gai
zindagi apne hangam mein kho gai
shorish-e-gosh-o-lab
kash ki tham sake
tu mujhe KHud-kalami ka mauqa mile
main taKHayyul ki aahaT sunun
aur taKHliq ke an-sune git gane lagun
shor-o-ghul ke taffun-zada aise mahaul mein
ye faqat KHwab hai
ab kahan
wo KHalaon ke jaisa sukut-e-azal
wo samundar ki tah ka sukun-e-abad
is KHarabe mein ab
saz-o-awaz ki
maKHmali Doriyan
KHar-o-KHashak hone lagin
dard-e-asar hone lagin
ek ghuTan si fazaon mein paiwast hai
daur-e-ijad ki
mustaqil gaDgaDahaT
samaat ko banjar kiye ja rahi hai
KHayalat mafluj hone lage hain
meri ruh wahshat-zada hai
sar-e-arsa-e-KHastagi
KHamushi lapata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.