shor
shor bahtā huā ik dariyā hai
kaisī mastī meñ bahe jaatā hai
shor kānoñ meñ basā lagtā hai
kyā garajtā huā sannāTā hai
shor jangal kī lapaktī huī aag
ghar kā ghar pal meñ jalā detā hai
shor ḳhuñḳhār balā hai pal meñ
saarī bastī ko nigal jaatā hai
shor kī aañch se allāh bachā.e
siisa kānoñ meñ pighal jaatā hai
shor hai jang-o-jadal kā kohrām
shor hī amn kā bhī na.ara hai
shor hī naġhma-e-gul bāñg-e-azāñ
shor mandir kā bhajan hotā hai
shor ehsās-e-vajūd-e-hastī
shor hī ziist kā sarmāya hai
shor nābūd to hastī na vajūd
ḳhāmushī maut kā hangāma hai
shor hī shor 'sahar' chaar taraf
shor tham jaa.e to sannāTā hai
shor bahta hua ek dariya hai
kaisi masti mein bahe jata hai
shor kanon mein basa lagta hai
kya garajta hua sannaTa hai
shor jangal ki lapakti hui aag
ghar ka ghar pal mein jala deta hai
shor KHunKHar bala hai pal mein
sari basti ko nigal jata hai
shor ki aanch se allah bachae
sisa kanon mein pighal jata hai
shor hai jang-o-jadal ka kohram
shor hi amn ka bhi nara hai
shor hi naghma-e-gul bang-e-azan
shor mandir ka bhajan hota hai
shor ehsas-e-wajud-e-hasti
shor hi zist ka sarmaya hai
shor nabud to hasti na wajud
KHamushi maut ka hangama hai
shor hi shor 'sahar' chaar taraf
shor tham jae to sannaTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.