shoara-e-qaum se KHitab
ai shā.irān-e-qaum zamāna badal gayā
par misl-e-zulf-e-yār tumhārā na bal gayā
pīToge kab talak sar-e-rah tum lakīr ko
bijlī kī tarah saañp taḌap kar nikal gayā
uTTho vagarna hashr nahīñ hogā phir kabhī
dauḌo zamāna chaal qayāmat kī chal gayā
ik tum ki jam ga.e ho jamādāt kī tarah
ik vo ki goyā tiir kamāñ se nikal gayā
haañ haañ sambhālo qaum ko shāyad sambhal hī jaa.e
gir gir ke mulk-e-hind kuchh āḳhir sambhal gayā
ai shairan-e-qaum zamana badal gaya
par misl-e-zulf-e-yar tumhaara na bal gaya
piToge kab talak sar-e-rah tum lakir ko
bijli ki tarah sanp taDap kar nikal gaya
uTTho wagarna hashr nahin hoga phir kabhi
dauDo zamana chaal qayamat ki chal gaya
ek tum ki jam gae ho jamadat ki tarah
ek wo ki goya tir kaman se nikal gaya
han han sambhaalo qaum ko shayad sambhal hi jae
gir gir ke mulk-e-hind kuchh aaKHir sambhal gaya
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 355)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.