shorish-e-zanjir bismillah
huī phir imtihān-e-ishq kī tadbīr bismillāh
har ik jānib machā kuhrām-e-dār-o-gīr bismillāh
galī-kūchoñ meñ bikhrī shorish-e-zanjīr bismillāh
dar-e-zindāñ pe bulvā.e ga.e phir se junūñ vaale
darīda dāmanoñ vaale pareshāñ gesuoñ vaale
jahāñ meñ dard-e-dil kī phir huī tauqīr bismillāh
huī phir imtihān-e-ishq kī tadbīr bismillāh
gino sab daaġh dil ke hasrateñ shauqeñ nigāhoñ kī
sar-e-dariyā parastish ho rahī hai phir gunāhoñ kī
karo yaaro shumār-e-nāla-e-shab-gīr bismillāh
sitam kī dāstāñ kushta diloñ kā mājrā kahiye
jo zer-e-lab na kahte the vo sab kuchh barmalā kahiye
musir hai mohtasib rāz-e-shahīdān-e-vafā kahiye
lagī hai harf-e-nā-gufta pe ab ta.azīr allāh
sar-e-maqtal chalo be-zahmat-e-taqsīr bismillāh
huī phir imtihān-e-ishq kī tadbīr bismillāh
hui phir imtihan-e-ishq ki tadbir bismillah
har ek jaanib macha kuhram-e-dar-o-gir bismillah
gali-kuchon mein bikhri shorish-e-zanjir bismillah
dar-e-zindan pe bulwae gae phir se junun wale
darida damanon wale pareshan gesuon wale
jahan mein dard-e-dil ki phir hui tauqir bismillah
hui phir imtihan-e-ishq ki tadbir bismillah
gino sab dagh dil ke hasraten shauqen nigahon ki
sar-e-dariya parastish ho rahi hai phir gunahon ki
karo yaro shumar-e-nala-e-shab-gir bismillah
sitam ki dastan kushta dilon ka majra kahiye
jo zer-e-lab na kahte the wo sab kuchh barmala kahiye
musir hai mohtasib raaz-e-shahidan-e-wafa kahiye
lagi hai harf-e-na-gufta pe ab tazir allah
sar-e-maqtal chalo be-zahmat-e-taqsir bismillah
hui phir imtihan-e-ishq ki tadbir bismillah
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 336)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.