shri-krishn
huā tulūa sitāroñ kī dilkashī le kar
surūr aañkh meñ nazroñ meñ zindagī le kar
ḳhudī ke hosh uḌāne ba-sad niyāz aayā
na.e piyāloñ meñ sahbā-e-be-ḳhudī le kar
fazā-e-dahr meñ gaatā phirā vo priit ke giit
nashāt-ḳhez-o-sukūñ-rez bāñsurī le kar
jahān-e-qalb sarāpā-gudāz ban hī gayā
har ek zarra mohabbat kā saaz ban hī gayā
jamāl-o-husn ke kāfir nikhār se khelā
riyāz-e-ishq kī rangīñ bahār se khelā
payambaroñ kī kabhī rasm kī adā us ne
gavālā ban ke kabhī sabza-zār se khelā
bahā diye kabhī Thokar se prem ke chashme
kabhī jaman kabhī gangā kī dhaar se khelā
hañsī hañsī meñ vo dukh-dard jheltā hī rahā
karishma-bāz zamāne se kheltā hī rahā
kiyā zamāne ko ma.amūr apne naġhmoñ se
sikhā.e ishq ke dastūr apne naġhmoñ se
sadāqat aur mohabbat kī us ne dī ta.alīm
andheriyoñ meñ bharā nuur apne naġhmoñ se
latāfatoñ se kiyā arz-e-hind ko labrez
kasāfatoñ ko kiyā duur apne naġhmoñ se
falak ko yaad haiñ us ahd-e-pāk kī bāteñ
vo bāñsurī vo mohabbat kī sāñvlī rāteñ
diloñ meñ rang-e-mohabbat ko ustuvār kiyā
savād-e-hind ko giitā se naġhma-bār kiyā
jo raaz koshish-e-nutq-o-zabāñ se khul na sakā
vo raaz apnī nigāhoñ se āshkār kiyā
udāsiyoñ ko na.ī zindagī atā kar dī
har ek zarre ko dil de ke be-qarār kiyā
jo mashrab us kā na is tarah aam ho jaatā
jahāñ se mahv mohabbat kā naam ho jaatā
hua tulua sitaron ki dilkashi le kar
surur aankh mein nazron mein zindagi le kar
KHudi ke hosh uDane ba-sad niyaz aaya
nae piyalon mein sahba-e-be-KHudi le kar
faza-e-dahr mein gata phira wo prit ke git
nashat-KHez-o-sukun-rez bansuri le kar
jahan-e-qalb sarapa-gudaz ban hi gaya
har ek zarra mohabbat ka saz ban hi gaya
jamal-o-husn ke kafir nikhaar se khela
riyaz-e-ishq ki rangin bahaar se khela
payambaron ki kabhi rasm ki ada us ne
gawala ban ke kabhi sabza-zar se khela
baha diye kabhi Thokar se prem ke chashme
kabhi jaman kabhi ganga ki dhaar se khela
hansi hansi mein wo dukh-dard jhelta hi raha
karishma-baz zamane se khelta hi raha
kiya zamane ko mamur apne naghmon se
sikhae ishq ke dastur apne naghmon se
sadaqat aur mohabbat ki us ne di talim
andheriyon mein bhara nur apne naghmon se
latafaton se kiya arz-e-hind ko labrez
kasafaton ko kiya dur apne naghmon se
falak ko yaad hain us ahd-e-pak ki baaten
wo bansuri wo mohabbat ki sanwli raaten
dilon mein rang-e-mohabbat ko ustuwar kiya
sawad-e-hind ko gita se naghma-bar kiya
jo raaz koshish-e-nutq-o-zaban se khul na saka
wo raaz apni nigahon se aashkar kiya
udasiyon ko nai zindagi ata kar di
har ek zarre ko dil de ke be-qarar kiya
jo mashrab us ka na is tarah aam ho jata
jahan se mahw mohabbat ka nam ho jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.