shugun
saat suhāganeñ aur merī peshānī!
sandal kī tahrīr
bhalā patthar ke likhe ko kyā dho.egī
bas itnā hai
jazbe kī puurī nekī se
sab ne apne apne ḳhudā kā ism mujhe de Daalā hai
aur ye sunñe meñ aayā hai
shaam Dhale jañgal ke safar meñ
ism bahut kaam aate haiñ!
sat suhaganen aur meri peshani!
sandal ki tahrir
bhala patthar ke likhe ko kya dhoegi
bas itna hai
jazbe ki puri neki se
sab ne apne apne KHuda ka ism mujhe de Dala hai
aur ye sunne mein aaya hai
sham Dhale jangal ke safar mein
ism bahut kaam aate hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.