shuur
mirī ragoñ meñ chahakte hue lahū ko suno
hazāroñ lākhoñ sitāroñ ne saaz chheḌā hai
har ek buuñd meñ āfāq gungunāte haiñ
ye sharq o ġharb shumāl o junūb past o buland
lahū meñ ġharq haiñ aur shash-jahāt kā āhañg
zamīñ kī peñg tulū-e-nujūm-o-shams-o-qamar
ġhurūb-e-shām zavāl-e-shab o numūd-e-sahar
tamām ālam-e-rānā.ī bazm-e-barnā.ī
kañval kī tarah khile haiñ lahū kī jhīloñ meñ
hai kā.enāt mire dil kī dhaḌkanoñ meñ asiir
maiñ ek zarra bisāt-e-nizām-e-shamsī par
maiñ ek nuqta sar-e-kā.enāt-e-vahm-o-shu.ūr
ek qatra anal-bahr hai sadā merī
maiñ kā.enāt meñ tanhā huuñ āftāb kī tarah
mire lahū meñ ravāñ ved bhī haiñ qur.āñ bhī
shajar hajar bhī haiñ sahrā bhī haiñ gulistāñ bhī
ki maiñ huuñ vāris-e-tārīḳh-e-asr-e-insānī
qadam qadam pe jahannam qadam qadam pe bahisht
meri ragon mein chahakte hue lahu ko suno
hazaron lakhon sitaron ne saz chheDa hai
har ek bund mein aafaq gungunate hain
ye sharq o gharb shumal o junub past o buland
lahu mein gharq hain aur shash-jahat ka aahang
zamin ki peng tulu-e-nujum-o-shams-o-qamar
ghurub-e-sham zawal-e-shab o numud-e-sahar
tamam aalam-e-ranai bazm-e-barnai
kanwal ki tarah khile hain lahu ki jhilon mein
hai kaenat mere dil ki dhaDkanon mein asir
main ek zarra bisat-e-nizam-e-shamsi par
main ek nuqta sar-e-kaenat-e-wahm-o-shuur
ek qatra anal-bahr hai sada meri
main kaenat mein tanha hun aaftab ki tarah
mere lahu mein rawan wed bhi hain quran bhi
shajar hajar bhi hain sahra bhi hain gulistan bhi
ki main hun waris-e-tariKH-e-asr-e-insani
qadam qadam pe jahannam qadam qadam pe bahisht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.