koī pattā bhī nahīñ hiltā, na pardoñ meñ hai jumbish
phir bhī kānoñ meñ bahut tez havāoñ kī sadā hai
kitne ūñche haiñ ye mehrāb mahal ke
aur mehrāboñ se ūñchā vo sitāroñ se bharā thaal falak kā
kitnā chhoTā hai mirā qad...
farsh par jaise kisī harf se ik nuqta girā ho
saiñkaḌoñ samtoñ meñ bhaTkā huā man Thahre zarā
dil dhaḌaktā hai to bas dauḌtī Tāpoñ kī sadā aatī hai
raushnī band bhī kar dene se kyā hogā añdherā?
sirf āñkheñ hī nahīñ dekh sakeñgī ye chaugarda, maiñ agar kānoñ meñ kuchh Thūñs bhī luuñ
raushnī chintā kī to zehn se ab bujh nahīñ saktī
ḳhud-kashī ek añdherā hai, upaa.e to nahīñ
khiḌkiyāñ saarī khulī haiñ to havā kyuuñ nahīñ ātī?
nīche sardī hai bahut aur havā tund hai shāyad
duur darvāze ke bāhar khaḌe vo santarī donoñ
shaam se aag meñ bas sūkhī huī Tahniyoñ ko jhoñk rahe haiñ
merī āñkhoñ se vo sūkhā huā Dhāñcha nahīñ girtā
jism hī jism to thaa, ruuh kahāñ thī us meñ
koḌh thā us ko tap-e-diq thaa? na jaane kyā thaa?
yā buḌhāpā hī thā shāyad...
pisliyāñ sūkhe hue kekaroñ ke shāḳhche jaise
rath pe jaate hue dekhā thā
chaTānoñ se udhar...
apnī lāThī pe gire peḌ kī mānind khaḌā thā
phir yakā-yak ye huā
sārthī, rok nahīñ paayā thaa, muñh-zor samay kī Tāpeñ
rath ke pahiye ke tale dekhā taḌap kar ise ThanDā hote!
ḳhud-kashī thii? vo samarpan thaa? vo durghaTnā thii?
kyā thaa?
sabz shādāb daraḳhtoñ ke vajūd
apne mausam meñ to bin māñge bhī phal dete haiñ
suukh jaate haiñ to sab kaaT ke
is aag meñ hī jhoñk diye jaate haiñ
jaise darvāze pe āmāl ke vo donoñ farishte
shaam se aag meñ bas
sūkhī huī Tahniyoñ ko jhoñk rahe haiñ
koi patta bhi nahin hilta, na pardon mein hai jumbish
phir bhi kanon mein bahut tez hawaon ki sada hai
kitne unche hain ye mehrab mahal ke
aur mehrabon se uncha wo sitaron se bhara thaal falak ka
kitna chhoTa hai mera qad
farsh par jaise kisi harf se ek nuqta gira ho
sainkaDon samton mein bhaTka hua man Thahre zara
dil dhaDakta hai to bas dauDti Tapon ki sada aati hai
raushni band bhi kar dene se kya hoga andhera?
sirf aankhen hi nahin dekh sakengi ye chaugarda, main agar kanon mein kuchh Thuns bhi lun
raushni chinta ki to zehn se ab bujh nahin sakti
KHud-kashi ek andhera hai, upae to nahin
khiDkiyan sari khuli hain to hawa kyun nahin aati?
niche sardi hai bahut aur hawa tund hai shayad
dur darwaze ke bahar khaDe wo santari donon
sham se aag mein bas sukhi hui Tahniyon ko jhonk rahe hain
meri aankhon se wo sukha hua Dhancha nahin girta
jism hi jism to tha, ruh kahan thi us mein
koDh tha us ko tap-e-diq tha? na jaane kya tha?
ya buDhapa hi tha shayad
pisliyan sukhe hue kekaron ke shaKHche jaise
rath pe jate hue dekha tha
chaTanon se udhar
apni laThi pe gire peD ki manind khaDa tha
phir yaka-yak ye hua
sarthi, rok nahin paya tha, munh-zor samay ki Tapen
rath ke pahiye ke tale dekha taDap kar ise ThanDa hote!
KHud-kashi thi? wo samarpan tha? wo durghaTna thi?
kya tha?
sabz shadab daraKHton ke wajud
apne mausam mein to bin mange bhi phal dete hain
sukh jate hain to sab kaT ke
is aag mein hi jhonk diye jate hain
jaise darwaze pe aamal ke wo donon farishte
sham se aag mein bas
sukhi hui Tahniyon ko jhonk rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.