simiya
tumhārī bābat maiñ sochtā huuñ
to aisā lagtā hai lafz saare
badan-darīda o sar-burīda
bayān-o-iz.hār ke sahāre
ye lafz saare
mere taḳhayyul kī bārgāh-e-suḳhan meñ jaise
qatār-andar-qatār mahjūb
pā-pyāda khaḌe hue haiñ
tumheñ jo sochūñ to lafz sochūñ
jo lafz sochūñ to aise paikar kā tarjumāñ
koī lafz sochūñ
jo aks-afgan ho ġhamza-o-ishva-o-adā kā
nazīr rū-e-nigār-o-tal.at
ḳhabīr-e-bū-e-bahār-o-nik.hat
jo husn-e-sarmad kā ā.īna-gar
jo āriz-e-hūr kā fusūñ-gar
jo lafz ḳhushbū abīr-o-ambar
jo lafz sandal shamīm-e-muztar
jo lafz farhañg-e-ḳhāmoshī ho
jo lafz āhañg-e-be-ḳhudī ho
jo lafz tandīd-gar ho aisā
jo ḳhāl-o-ḳhad ko kamāl kah de
tumheñ sarāpā jamāl kah de
jo lafz jaadū ho kīmiyā ho
jo lafz afsūñ ho sīmiyā ho
jo lafz tujh ko bayān kar de
vo lafz āḳhir koī to hogā
vo lafz āḳhir kahīñ to hogā
tumhaari babat main sochta hun
to aisa lagta hai lafz sare
badan-darida o sar-burida
bayan-o-izhaar ke sahaare
ye lafz sare
mere taKHayyul ki bargah-e-suKHan mein jaise
qatar-andar-qatar mahjub
pa-pyaada khaDe hue hain
tumhein jo sochun to lafz sochun
jo lafz sochun to aise paikar ka tarjuman
koi lafz sochun
jo aks-afgan ho ghamza-o-ishwa-o-ada ka
nazir ru-e-nigar-o-talat
KHabir-e-bu-e-bahaar-o-nikhat
jo husn-e-sarmad ka aaina-gar
jo aariz-e-hur ka fusun-gar
jo lafz KHushbu abir-o-ambar
jo lafz sandal shamim-e-muztar
jo lafz farhang-e-KHamoshi ho
jo lafz aahang-e-be-KHudi ho
jo lafz tandid-gar ho aisa
jo KHal-o-KHad ko kamal kah de
tumhein sarapa jamal kah de
jo lafz jadu ho kimiya ho
jo lafz afsun ho simiya ho
jo lafz tujh ko bayan kar de
wo lafz aaKHir koi to hoga
wo lafz aaKHir kahin to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.