sip
sapnoñ ke mahakte āñgan meñ
kirneñ na bikhreñ chāhat kī
ḳhushbū ne aañkh kahāñ kholī
suunī haiñ bāñheñ qurbat kī
lajjā ke komal adhroñ se
kab milan huā do shabdoñ kā
kab man-sāgar meñ jvaar uThā
kab chandā pighlā sāñsoñ kā
kab titlī ne kaliyoñ kā ras
pī kar tan kā shringār kiyā
kab jaagī āñkhoñ kī bhāshā
kab chāhat ko ādhār kiyā
kab barkhā barsī va.adoñ kī
kab aashā kā āñchal bhīgā
kab phuul khile kab shāḳh jhukī
kab huā basantī tan giilā
kab shāḳh pe dhaḌkan kī phūTā
ankur qasmoñ ke mausam kā
kab gūñjā dil kī bastī meñ
sur indr-dhanush kī sargam kā
kitne sāvan kitne bhādo
jal ga.e samay kī agnī meñ
kab niim meñ mīThe aam lage
kab patthar pighlā paanī meñ
sadiyoñ se ab tak zinda hai
dhartī se ambar kī duurī
har siine par ankit niklī
andhī rasmoñ kī majbūrī
har aañkh meñ patjhaḌ kā mausam
har jism chitā kī raakh huā
chāñdī sonā be-mol bike
koī na sachchī saakh huā
kis ko apnā mānūñ āḳhir
kis mukh par apnā naam likhūñ
ye jīvan ik korā kāġhaz
ab kis ko kyā paiġhām likhūñ
champa.ī laal niile piile
jo rang bhī dil ko bhāte haiñ
sab pal do pal kā saaya haiñ
sab miTTī meñ mil jaate haiñ
kuchh jīvan banjar dhartī par
be-maqsad jiite rahte haiñ
aur pyaas nahīñ bujhtī un kī
bas aañsū piite rahte haiñ
aashā be-nām sadāqat hai
sonā miTTī ho jaatā hai
jo bhī miltā hai duniyā meñ
āḳhir ik din kho jaatā hai
sapnon ke mahakte aangan mein
kirnen na bikhren chahat ki
KHushbu ne aankh kahan kholi
suni hain banhen qurbat ki
lajja ke komal adhron se
kab milan hua do shabdon ka
kab man-sagar mein jwar uTha
kab chanda pighla sanson ka
kab titli ne kaliyon ka ras
pi kar tan ka shringar kiya
kab jagi aankhon ki bhasha
kab chahat ko aadhaar kiya
kab barkha barsi wadon ki
kab aasha ka aanchal bhiga
kab phul khile kab shaKH jhuki
kab hua basanti tan gila
kab shaKH pe dhaDkan ki phuTa
ankur qasmon ke mausam ka
kab gunja dil ki basti mein
sur indr-dhanush ki sargam ka
kitne sawan kitne bhado
jal gae samay ki agni mein
kab nim mein miThe aam lage
kab patthar pighla pani mein
sadiyon se ab tak zinda hai
dharti se ambar ki duri
har sine par ankit nikli
andhi rasmon ki majburi
har aankh mein patjhaD ka mausam
har jism chita ki rakh hua
chandi sona be-mol bike
koi na sachchi sakh hua
kis ko apna manun aaKHir
kis mukh par apna nam likhun
ye jiwan ek kora kaghaz
ab kis ko kya paigham likhun
champai lal nile pile
jo rang bhi dil ko bhate hain
sab pal do pal ka saya hain
sab miTTi mein mil jate hain
kuchh jiwan banjar dharti par
be-maqsad jite rahte hain
aur pyas nahin bujhti un ki
bas aansu pite rahte hain
aasha be-nam sadaqat hai
sona miTTi ho jata hai
jo bhi milta hai duniya mein
aaKHir ek din kho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.