ḳhudā ne alaao jalāyā huā hai
use kuchh dikhā.ī nahīñ de rahā hai
har ik samt us ke ḳhalā hī ḳhalā hai
simaTte hue dil meñ vo sochtā hai
ta.ajjub ki nūr-e-azal miT chukā hai
bahut duur insān TheThukā huā hai
use ek shola nazar aa rahā hai
magar us ke har samt bhī ik ḳhalā hai
taḳhayyul ne yuuñ us ko dhokā diyā hai
azal ek pal meñ abad ban gayā hai
adam is tasavvur pe jhunjhlā rahā hai
nafas-do-nafas kā bahāna banā hai
haqīqat kā ā.īna TuuTā huā hai
to phir koī kah de ye kyā hai vo kyā hai
ḳhalā hī ḳhalā hai ḳhalā hī ḳhalā hai
KHuda ne alao jalaya hua hai
use kuchh dikhai nahin de raha hai
har ek samt us ke KHala hi KHala hai
simaTte hue dil mein wo sochta hai
tajjub ki nur-e-azal miT chuka hai
bahut dur insan TheThuka hua hai
use ek shola nazar aa raha hai
magar us ke har samt bhi ek KHala hai
taKHayyul ne yun us ko dhoka diya hai
azal ek pal mein abad ban gaya hai
adam is tasawwur pe jhunjhla raha hai
nafas-do-nafas ka bahana bana hai
haqiqat ka aaina TuTa hua hai
to phir koi kah de ye kya hai wo kya hai
KHala hi KHala hai KHala hi KHala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.