silsila KHwabon ka
kitnī dilkash haiñ tire āriz-o-lab kī yādeñ
kis qadar tauba-shikan hai tirī zulfoñ kā ḳhayāl
kitnā pur-kaif tasavvur hai tirī āñkhoñ kā
taab kis ko hai jo dekhe tirī qāmat kā jamāl
taab kis ko hai jo dekhe tirī qāmat kā jamāl
tujh ko ik phuul kahūñ chāñd kahūñ ḳhvāb kahūñ
zehn-e-shā.ir meñ ba-yak-vaqt ye ubhre haiñ savāl
tere chehre ko sabhī ek kañval kahte haiñ
aur ham tujh ko sarāpā-e-ġhazal kahte haiñ
mere jazbāt farāvāñ mire zaḳhmoñ ke nishāñ
terī duzdīda-nigāhī kā gila karte haiñ
har ghaḌī phuul damakte hue ruḳhsāroñ ke
mere ehsās ke gulshan meñ khilā karte haiñ
kyā batā.ūñ tujhe apne dil-e-betāb kā haal
kitne dīpak mire siine meñ jalā karte haiñ
be-niyāz-e-ġham-e-ayyām mire zehn-o-nazar
gum sarāb-e-lab-o-āriz meñ rahā karte haiñ
tirī āvāz ke sho.aloñ meñ sahar jaltī hai
muskurāhaT meñ tirī barq-e-tapāñ paltī hai
lekin ai jān-e-suḳhan tujh ko ḳhabar hai ki nahīñ
mere kāshāna-e-ġhurbat pe nazar hai ki nahīñ
tū ki parvarda-e-āġhosh-e-nasīm-e-gulshan
jism-e-sīmīñ pe ye zartār tire pairāhan
garm jhoñkoñ kī ināyat se bacheñge kab tak
ḳhār-zār-e-ġham-e-hastī meñ raheñge kab tak
mutrib-e-vaqt kahīñ chheḌ na de talḳh ġhazal
Dar hai mismār na ho jaa.e ye naġhmoñ kā mahal
jān-e-jāñ silsila ḳhvāboñ kā kahīñ TuuT na jaa.e
tere hāthoñ se kahīñ jām-e-vafā chhūT na jaa.e
kitni dilkash hain tere aariz-o-lab ki yaaden
kis qadar tauba-shikan hai teri zulfon ka KHayal
kitna pur-kaif tasawwur hai teri aankhon ka
tab kis ko hai jo dekhe teri qamat ka jamal
tab kis ko hai jo dekhe teri qamat ka jamal
tujh ko ek phul kahun chand kahun KHwab kahun
zehn-e-shair mein ba-yak-waqt ye ubhre hain sawal
tere chehre ko sabhi ek kanwal kahte hain
aur hum tujh ko sarapa-e-ghazal kahte hain
mere jazbaat farawan mere zaKHmon ke nishan
teri duzdida-nigahi ka gila karte hain
har ghaDi phul damakte hue ruKHsaron ke
mere ehsas ke gulshan mein khila karte hain
kya bataun tujhe apne dil-e-betab ka haal
kitne dipak mere sine mein jala karte hain
be-niyaz-e-gham-e-ayyam mere zehn-o-nazar
gum sarab-e-lab-o-ariz mein raha karte hain
teri aawaz ke shoalon mein sahar jalti hai
muskurahaT mein teri barq-e-tapan palti hai
lekin ai jaan-e-suKHan tujh ko KHabar hai ki nahin
mere kashana-e-ghurbat pe nazar hai ki nahin
tu ki parwarda-e-aghosh-e-nasim-e-gulshan
jism-e-simin pe ye zartar tere pairahan
garm jhonkon ki inayat se bachenge kab tak
KHar-zar-e-gham-e-hasti mein rahenge kab tak
mutrib-e-waqt kahin chheD na de talKH ghazal
Dar hai mismar na ho jae ye naghmon ka mahal
jaan-e-jaan silsila KHwabon ka kahin TuT na jae
tere hathon se kahin jam-e-wafa chhuT na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.